Husn

Dekho-dekho, kaisi baatein yahaan ki
Hain saath, par hain saath na bhi
Kya itni aasaan hain?

Dekho-dekho, jaise mere iraade
Waise kahaan tere yahaan the?
Haan, kitni naadaan main

Mere husn ke ilaawa kabhi dil bhi maang lo na
Haaye, pal mein main pighal jaaun, haan
Ab aisa na karo ke dil jud na paaye waapis
Teri baaton se bikhar jaaun, haan

Maana, zamaana hai deewaana
Isiliye tune na jaana
Tere liye main kaafi hoon

Dekho-dekho, ye zamaane se thak kar
Aate ho kyun maasoom ban kar?
Tere liye main kya hi hoon?

Phir aate kyun yahaan karne aankhon mein ho baarish?
Ab aaye to theher jaao na
Aur poochho na zara mere din ke baare mein bhi
Bas itne mein sambhal jaaun, haan

Haan, ek din kabhi koyi
Jab bhi padhe kahaani teri
Lagta mujhe, mere naam ka
Zikr kahin bhi hoga nahin

Haan, main yahin
Meri ye aankhon mein, aankhon mein to dekho
Dekho, ye dil ka haal kya, honthon se hota na bayaan
Meri ye aankhon mein, aankhon mein to dekho

Kaisa naseeb hai mera? Milke bhi na mujhe mila
Meri ye aankhon mein, aankhon mein to dekho
Teri adhoori si wafa maangoon, main maangoon aur na
Meri ye aankhon mein, aankhon mein to dekho

Dekho-dekho, kaisi kheencheen lakeerein
Chaahe bhi dil to bhi na jeete
Main is daud mein nahin

Dekho-dekho, kaisi baatein yahaan ki
Baatein yahi dekhoon jahaan bhi
Main is daur se nahin



Credits
Writer(s): Anuv Jain
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link