Din Dhalay

Roz-o-shab rangon ki khoj mein rahe
Har lamha yaadon ki mauj mein bahe
Kal tha kya, kya hoga, uljhe huye sire
Har din is sooli ki bhent kyun chadhe?

Hm-hm, hm-mm
Ye dhun kya kahe?
Hm-hm, hm
Har aah mein jo baje

Hoshon pe chhaaya sochon ka saaya
Gharq fikr mein hai man saara
Hosh bhi kam-kam
Saansein bhi be-dam
Umr na-tamaam ho

Din dhale, shaam ho
Din dhale, shaam ho
Din dhale, shaam ho
Din dhale, shaam ho

Chubhti hain pairon mein sheeshe ki kirchiyaan
Toota tha kya ghar mein kabhi koi aaina?
Paaya jo chaahat thi, kho gaya main kahaan?
Na jaane kab rootha mujhse mera Khuda

Baitha dil andar kaala saaya sa
Gharq fikr mein hai man saara
Hosh bhi kam-kam
Saansein bhi be-dam
Be-khudi ka jaam ho

Din dhale, shaam ho
Din dhale, shaam ho
Din dhale, shaam ho
Din dhale, shaam ho



Credits
Writer(s): Asfar Hussain
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link