Compelled

Jo aankhon me khwaab the, vo khwaab ab hai kaha
Tu he jaan or tu meri duniya
Tu he hai sab or tu he hai mera jahan
Mangi thi roshni par andhera mila yaha

Mere paas hoke bhi vo mujhse door thi
Mere liye jo mera pyaar or fitoor thi
Karne Chala Tha Vada Umr Bhar Saath Ka
Par vo Shayad kisi aur ke qareeb thi
Jo hai dil me ab kese me bayaan karu
Jo hai dekha use kese andekha karu
Dil he dil me jise maan baitha jaan tha
Har baat se tha vaqif is se ajaan tha
Na jane me ab kya he tha karne chala
Jaan ke bhi anjaan tha banta chala
Jitnne pyaar se pakda tha us gulaab ko
Vahi gulaab kyu dard yun deta chala
Zakhm jo mile use kese me karu sahi
Tere samne mein tujhme hu khoya kahi
Agar kardu bayaan jo dil me mere chal raha
Toh shayad dosti teri meri rahe nahi
Tu meri dhadkan or tu he meri saans hai
Sabse chupaya tujhko jaise mera raaz hai
Meri khamoshi ki lagti tu he aawaaz hai
Meri toh nafz ki tu he lagti humraaz hai
Ye meri duniya tere bina ek puzzle si hai
Tu mera geet jaana jaan e ghazal si hai
Tu hai zaruri sangeet me sargam ki jaise
Nafz ne likhi tere liye kuch nazam bhi hai
Na jane konsi afwahon ke shikhar ho gaye
Dil tha saaf hum fir bhi badnaam ho gaye
Wafa mili nhi or bewafa bhi khe nahi sakte
Pyaar toh mera tha vo toh be-qasoor ho gaye
Kabhi mile samay toh puchna baharo se
Ye dil dhadakta ha bas tumhare naam se
Tumhare pas hoke bhi hum tumse door the
Hum kitne bebas or kitne majboor the



Credits
Writer(s): Sourabh Bothra
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link