Jagath Janani

(ॐ)

Paap ka ghada jo bharne lage hai
Kaal khud ka dekh ke darne lage hai
Jhonka hawa ka bawandar bane
Boond bhi, dekho, samandar bane

Saaye ki tarah jab sarp chale
Kasht bhi jab shastra bane
Ablaaon per jab-jab kasht hue hain
To Devi Maa roop dhare

Jagat janani, pralay roop dhare
Dushton ka sarvnaash, maa meri kare
Karmo ka, maa, parinaam liye
Punya saware wo, paap hare

Sangram, sangharsh, shraddha ki vijay ho
Jagat janani, kaal roopi maa ki jay ho
Sanhaar, sarvnaash, shatruhant hoga
Satya ka asatya per vijay ab hoga

Ashruuwon ki dhara mein sagar ki lehron sa pralay aayega
Parwat bhi takra kar uske bahaaw mein behta he jaayega

Jagat janani, pralay roop dhare
Dushton ka sarvnaash, maa meri kare
Karmo ka, maa, parinaam liye
Punya saware wo, paap hare



Credits
Writer(s): Vishal Chandrashekhar, Munna Dubey, Simran Khurana
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link