Hakikatein

Juth ki riyasaton mein
Sach ko gulam kiya jaata hai
Ye badnaamo ki basti hai sahab
Yahan sacch ko badnaam kiya jaata hai

Han thokare bhi khayin
Maine galiya bhi khayin hain
Sabne apne mauke pe
Aukaat bhi dikhai hai
Hai jhutha ye zamana hai
Kyunki sab mein bewafai hai
Khudagrji is jamane ko
Kis mod pe le aai hai
Matalb se hain Rishte saare
Matlab ke sab bhai hain
Pyar ki kya baat bolun
Ye to gahri khai
Ye to gahri khai
Han ye to gahri khai hai
Ye pyar ki sachhai hai
Ismein hote jhuthe waade hain
Aur hoti bewafai Hai
Hoti bewafai Hai
Han hoti bewafai Hai
Ye pyar ki sachhai hai
Ki hoti bewafai hai

Hain nakab posh log
Sabne suraten chupaai hain
Hain Dogle ye log
Inki soch mein buraayi hai
Pith pe hain karte saajish
Mu pe bante bhai hain
Ch*t ke hi piche hoti
Aaj bhi ladai hai

Hai kaisa ye zamana
Charo or bewafai hai
Chaska hai jishmani
Aur jajbaaton ki tabahi hai
Tute dilon ki mehfil
Is baat ki gawahi
Ki hoti bewafai hai
Ismein hoti bewafai hai

Ismein hoti bewafai hai

Haalaton ne hakikat
Jab zamaane ki dikhayin hain
Maine bhi jamaane se fir
Duriyan banayin hain
Dur hun main sabse jabse
Saath ye tanhaayi hai
Aur saath mein parchhayin hai
Saath mein parchhayin hai
Kuchh khwahishon ne raaton
Ki bas nindein hi churayin hain
Kuchh yaadein hain aawara
Jisne dhadkanon mein
Bechainiyan badhayin hain
Han Bechainiyan badhayin hain

Dhudne chala tha main is jamane ki hakikat
Magar ab hakikat se hi mujhe hoti hai nafrat
Ismein hote jhuthe waade hain
Aur hoti bewafai. Hai hoti bewafai Hai



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link