Saath na rahi

Umeed tere aane ki
Bekar hi rakhi
Badhe hum bhi aage magar ab
Wo baat na rahi

Tu saath na rahi
Tu saath na rahi
Rahein lagein mushkil zara ab
Jab tu saath mein nhi

Lagi hui aag dil mei
Raat din khayal dil mei
Yaad teri aayi lekin
Baat bhi nhi hui kab se?
Saath bhs tanhaai baithi
Raah pe nigahein baithi
Kas tu ho saath mein
Dil mei ye khwahish rehti
Kabhi baith aake pass mere tu
Bhale ab apna mujhe manti nhi tu
Meri wafa pe kyu sawal kare tu?
Shayad jaanke bhi mujhe jaanti nhi tu
Tujhe kho diya nadani mei bachpan ki tarha
Tu bhatak gai raaho se mere man ki tarha
Hogi baat dobara to kehna sochke zara
Mere ego bhi badh gai hai mere kad ki tarha
Dil mein hai teri jagha pr tujhe keh na saka
Becheni dil ki dil mei sehta raha
Nazrein na keh dein kuch to nazrein ferta raha
Teri yaado ke wajan se dil ye baithta raha
Hn

Umeed tere aane ki
Bekar hi rakhi
Badhe hum bhi aage magar ab
Wo baat na rahi

Tu saath na rahi
Tu saath na rahi
Rahein lagein mushkil zara ab
Jab tu saath mein nhi

Tu saath na rahi
Tu saath na rahi
Rahein lagein mushkil zara ab
Jab tu saath mein nhi

Laut aaye kash tu bhi
Pyar mera jaan tu bhi
Duniya saari maan gai
Maan meri jaan tu bhi
Ana le dubi rishte, Rishte wo naqabil the
Unmein yaar bhi shaamil the
Ab kya hi mujhko haasil hai
Jazbaato ke hum qatil hein
Hummein bhi kamiyaan kafi hein
Hum is baat se waaqif hein
Ache se
Wo khus rahe, hum bhs duwa ye
Karte hein
Kyu usko hum kuch bhi bhala bura kahein
Mohobaat hai ye zid nhi aap ye samjhein
To kyu usko paane mein hum khudko mita lein
Hn

Umeed tere aane ki
Bekar hi rakhi
Badhe hum bhi aage magar ab
Wo baat na rahi

Tu saath na rahi
Tu saath na rahi
Rahein lagein mushkil zara ab
Jab tu saath mein nhi



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link