ALTMH

Vo jayenge mere khilaaf
Jab mere hisaab se, lagunga jeetne
Vo chahte mai girun unchayi se
Unhe sunayi de deta hua cheekte
Vo jalenge mere vikas se
Lagenge nachne mere vinash pe
Marunga toh bhi ye saasein chalegi
Jo hogyi qaid abhi mere ye geet mein
Jo socha main karunga kabhi ni
Kyu humesha kara deti majboori hai
Vo dhoka jo mila hai sabhi ko
Jeena seekha deti vo bhi zaruri hai
Aur log jo dete hai taane
Ni banate gaane dharam mai humare
Main Christ believer hu na koi dharam se
Vo mera marg ussi ke charan pe
Tekta ghutne,
Kon support mein
Kon oppose mein
Jaanta hu main vo konse log jo
Plan banare hai muje dabochne
Vo soche main ghumu phiru karu rap aur koi ni kaam kaaz muje
Lekin rehta mera naam yaad unhe
Khudi aake mera haal chal puche
Jageh pe rakhu main sabhi ko
Sage jo pehle the abhi bhi sage vo
Dikkat hai tuje jo merese
Kehne se dare toh aage ni khade ho
Aur jo bhi ateeth mein the
Mere need mein, weed mein geet mein the
Jo nasib se dio ke seat mein the
Mere Saath na kabhi koi beef mein the
Sahi hai bhai sab set hai tera
Koi musibat ni tu jhela
Jab koi kehde ye sab mujko
Ni lagta apna vo mera
Launde saare hum, tension mai khali mare dum
Have mai bus udare gum
Bheetar se saale saare numb
Mat bolo main jhela ni hu
Is dard e dil mai akela ni tu
Vo raaz apne kaise kahu ki
Doshi mai khudi ko tehrata kyun
Meri nazar mein bura main hu
Par ye faisla chodta khuda par hu
Hua khatam tha college bhi ni ki
Mai tabhi se paise kamane par hu
Chahiye paisa chahiye gaadi
Aur zindagi bhar ka ash
Par karta ni hai mehnat launda
Baap se lera bhar ke cash
Ab lagta bhai tu sehmat kab khuda bandh karte rahmat
Phir jab zimmedari badh jyegi teri fatt jayegi
Ye bhalta fact
Main likhta khat
Tere liye padh lega jab tu,Samjega tab tu
Karta nafrat, Ni hu main kisse bhi
But kyu sabjagah has du
Rakhte matlab
Log aate paas jab bhi
Haathon mein paise main rakhu
Aur jab mere pass hota ek bhi ni rupiya
Vo log mere saath khade ni dikhe tab kyu
Tu paida ni hua bura tuje mila mauka
Tune chuna bura
Tu kehta ki hua gunah
Tuje mili ni maafi toh khuda bura
Insaano ko mila poora jo bhi chahiye tha par
Humein dikha kua
Dikha saanp toh sar chada lalach
Aur fase hum paap mein
Maafi ko karo dua
Jale jo mere se saare vo magan hai
Soch ke sala ye nashe mein khatam hai
Zinda main raha agle saal album
Varna in dallo ke soch mein wazan hai
Wazan hai
Shukriya



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link