MAQAAN (feat. Subhan Mallah)

Chal diye kahin hum uss jagah pe
Jahan thay hi nahi tum kya khata ye
Wapis lautunga wahan k tu hi hai jahan
Ye khush rehti ankhen lagta puri har dua

Na tu yahan hai tujhe kese dhundun
Tu hi ashiyan hai beghar sa main hoon
Ke tere hi isharay thay ujhalay har disha main
Ab dhoor hoon main thora waqt andheray main Guzren

Usko kehta tu hai meri wo manay hi na
Sharma kar muskuraye par wo janay hi na
K kese guzray din mere saaray tere bin
Muskurata hi nahi main jo hoon tere bin yahan

Kyun chal diye wahin hum uss jagah pe
Jahan hotay hi nahi tum lapata thay
Wapis lautunga wahan to hongay na khafa
Heaven sent you to me tere sath hi khush rehta
Dil mera sada

Tu hi har dua
Tu hi hai subha
Tu hi wo maqaan
Jismay dil ye bas jaye
Kyun na lautun main wahan

Han jaana tum ho yahan
Tu hai mere pas aur mai bhoola jahaan
Kisi manzar se na kam hein ye aankhein teri
Mai dooba jabse inme laapata hun kahan

Han tum na hona door
Main bhoola sab ujaalay bss tera he noor
Jaana baatein meri tujhse shuru tujhpe khatam
Bankay rehna paas mere tum mera ghuroor yea

Jaana likh ke main thaqa tujhpe Lafz khatam nahi
Teri muskurahat jesi jaana koi raqam nahi
Kabhi maang ke tu dekh mujhse jaan e jahaan
Tera maanun kabhi na esa koi hukum nai

Din ho akhri hum tab tak tere aashna hein
Tum ho gul jaana hum tere baaghbaan hein
Tere manzil ho parey saaton aasmaan mai
Tujhe le chale wahin tere kaarvaan hein

Aake mil beth mere tu sirhaane kabhi
Bethe bataun tujhe baatein apne dil ki sabhi
Hua mubtala esi aankhon ki kashish
Pakro haath mera jaana phir na choro Kabhi



Credits
Writer(s): Josh Ayaz Palijo, Subhan Mallah
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link