Ek Diya

Saason ki maala pe simrun mai pi ka naam)
(Saason ki maala pe...)
(Saason ki maala pe...)

Saason ki in saari maalaon pe dhoondu tera naam
Saal ke iss akhir waqt mein, mai bas dhoondu tera jaam
Saath ke iss akhri waqt pe, mai dhoondu tera saath
Saamne se aagyi chalke, nai dekha mai anjaan
Dekha tujhko port pe tou hogayi circuit short hai
Ab dekhu jab bhi phone pe tou baaki lagte short hai
We come from the same place, tou kaafi sort hai
I dont feel no feelings really, par iss time maut hai

Kaafi sarai waqt se nai likha
Mai kaafi sarai waqt se nai dikha
Dost sarai poochte, ki chehra kyu pheeka?
Mai poora andar se hu murda
Dil mera marz(disease) hai aur mai bas ijazat
Isse aadat nai ishq ki
Par tum ko yun dekh mera mann kyu fir ghaafil?(negligent)

Ghaafil yeh man hai
Mera background dekh salai kitne sitam(hardships)
I cant afford heartbreaks
Mere sir pe jo chatt uska naam bhi gham
Pasa palat baazi, kazi hazir, dekhu manazir(scenarios),
Kitne kaasib(experts), sarai raqib(observing), par nai aakil(mindful)
Baatein beakal(senseless) karte
Mai maaru kash pe kash
Ham tou bas tumko hi talaash karte
Pasa palat baazi, poori haari
Mai nai namazi
Dekh usko huwa mutasir(impress)
Voh nahi mujhko dekh
Muntazir(expectant)
Mai bhatku akela
Yeh daastan mukhtasir(brief)
(nahi!)

Saason ki maala pe simrun mai pi ka naam
Saason ki maala pe simrun mai pi ka naam
Aankho ki palkon pe basara ashqon ka maqan
Saason ki maala pe bas hai tera ik yeh naam

Kaafi sarai waqt se hu soya nai theek se
Poora sara past mein tha maanga pyaar bheek se
Yaad aati batein saari, feelings hoti leak hai
Ladta dimag hai, feelings hogyi deep flush
Ghar aana jaan tou chalta tha rehta fir
Ghar hi fasana(tale) tou kaisa zamana bas
10 din ko aana tha fir thi return ticket
Itne mei dekh tumhe hogyi feelings refresh kyu?

Haan hogyi feelings refresh kyu?
Haan hogyi feelings refresh yu-

Gaana ab tumpe, but Ik you will never hear it
You wont even know, Ik you will never make time
Not for a minute-
You wont even share it
Tu yaad kar voh time jab ham share krte apps saari, only thru share-it

Now you wanna waste it?
Kyu?
You wanna waste this yun?
Chashme badoor teri aankhein thi mere pe
Hasti thi jab bhi tou khushi indruni(internal) kyu?
Krti hai badha mazaak tu
Follow mai krta par gutsy fir nai hu
Ladko ka nature hi aisa
Sach mein pasnd jab
Hai sach mein pasnd tu
Mera yeh vent nai fruitful

Kaash tu sunley yeh gaana
Gana yeh mera jo maine banaya
Kaash tu sunley fasana(tale)
Ek fasana jo tujhpe likha tha
Kaash tu padhle darkwast(appeal) yeh
Padhle yeh khat mera uss rab ke waaste
Kaash nai hotey yeh haa dse
Teri iss reference ne kitna jala diya

(Kitna jala diya, haan...)
(jalta diya...)

Saason ki maala pe simrun mai pi ka naam
Saason ki maala pe simrun mai pi ka naam
Aankho ki palkon pe basara ashqon ka maqan
Saason ki mala pe bas hai tera ik yeh naam

(Tera hi naam)



Credits
Writer(s): Jashoda Rao Rattan Singh Rathore, Mutaib Shamim Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link