Koi Aayat

Koi aayat yaad nahin mujhko
Tere naam ka nagma kaafi hai
100 jannat kyun karwaayein naam
Teri rooh mein reh loon, kaafi hai

Maana, ishq ki shakal-o-soorat nahin
Tu khud is ka fariyaadi hai

Tere ishq ke rang ranga baithi
Main apna rang gawa ke
Mera saara kuch main luta baithi
Tera paagalpan main kama ke

Duniya ki garaj bhi nahin mujhko
Tu bana de bairagan, kaafi hai

Ni dha, ni sa
Re ma, pa ni sa

Nahin koi zarurat saason ki
Na rooh ki hai, na jaan ki
Mera yaar to sabse behtar hai
Kya sudh leni hai jahan ki

Nahin koi zarurat saason ki
Na rooh ki hai, na jaan ki
Mera yaar to sabse behtar hai
Kya sudh leni hai jahan ki

Pa ma, ni sa, pa ma, ga ma pa ma re sa
Ni sa, re ma, pa ma re pa ni
Sa ni, pa ni sa ni, pa da ni pa ma re

Na koi gali bhaaye mujhko
Bas tera aangan kaafi hai
Koi aayat yaad nahin mujhko
Tere naam ka nagma kaafi hai



Credits
Writer(s): Abhishek Arora, Ananya Purkayastha
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link