Gumnaam

Tujhe khonay k baad bhi teri aas rahe
Sab kuch honay k baad bhi dil udaas rah,
Ab ye gham bhi mjh akele k nhi rhe
Ab hr trf se log meri zindagi mein jhaank rahe
Dhuwan dhuwan bethe nashey mein hum khaans rahe
Kehte dard hotay kam agr baantne se
Bechdaalay saaray meine bus ek isi waastay
Par chorein na ye peecha mera ab bhi mere saath rahein
Mere saath shayad tum bhi rehti dukhi
Tw phir acha hua jaana k tm mere liye nhi ruki
Kuch chahney waley jinkeliye jeena zaruri
Warna mann tw karta roz mera krne ka khudkhushi
Esi bhi kia thi majburi k dil torna para
Tum isse behtar mere galay pe khud pherdeti churi
Thi kia majburi ese chorna para k baaki saari zindagi tjhbin lgne lgi adhuri
Saason se qareeb hoke bhi meelon ki duri
Ho tm mere liye bani tw kiun nhi milti mjhko puri?
Ankhon mein nami mere par honton pe hansi rahe
Tmhare bin ye dekhiye hum kis tarah se jeerahey.

Gilay tw betahaasha zindagi se they par jab tum zindagi se gaye tw hum akele rehgaye they peechey
Bharosa ab mujhe ye hai kisi pe nahi k koi bhi zindagi bhar saath rehta nahi kabhi kisi ke
Shaayad mein bhul jaunga tujhe bhi peetey peetey
Shaayad mujhe mohabbat phir na ho kabhi kisi se
Kash pe kash lagein or kashmakash mein din ye beetein
Laakhon hasratein dafan ek murda dil k neechey

Choti paregi ek raat ginne bethe dil k rog agar
Kia karun mein baat meri jaga khud ko soch hogaye
Laakhon mein tamashbeen pr bachay mere dost kam
Agar tum mjhko jaano tw shayad hon achay dost hum.
Kinaaray sehra ke pr dil ye phir bhi pyaasa
Idhr har kisi ko lagta uska gham hi sb se ziyada
Mera tumse milne se pehle tha marnay ka iraada
Wo jo zindagi mein aake meri tumne badal daala
Tum nahi tw kch nhi berang sahi ye zindagi
Pyaar ya thi zid meri
Pata mjhe khud nahi
Par jab se tum gayi ke jese saansein meri thamgayin
Dil karta in pannon k sath jalaadun khud ko mein yehin
Mat batao mjhe ab tum kia ghalat hai kia sahi
Jo ho chuka wo choro kiunke waqt tw paltega nahi
Jab mjhe zarurat thi sb se ziada tmhari
Us wqt dene ko sahara mjhe koi yahan pe tha nahi
Tw mein bhi wo raha nahi tum jaantay they jisey
Mar chuka wo shakhs ye uski laash tmhein dikhey
Tmharey baarey mein zikar tk meine kisi se kia nahi
Pr khud mein tera aks ab bhi aeyney mein dikhey mjhe.

Gilay tw betahaasha zindagi se they par jab tum zindagi se gaye tw hum akele rehgaye they peechey
Bharosa ab mujhe ye hai kisi pe nahi k koi bhi zindagi bhar saath rehta nahi kabhi kisi ke
Shaayad mein bhul jaunga tujhe bhi peetey peetey
Shaayad mujhe mohabbat phir na ho kabhi kisi se
Kash pe kash lagein or kashmakash mein din ye beetein
Laakhon hasratein dafan ek murda dil k neechey



Credits
Writer(s): Nabeel Akbar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link