Dil Mein

Tujhko khabar nahi hai
Mere dil mein tu hi basi hai

Tujhko khabar nahi hai
Mere dil mein tu hi basi hai
Ab yeh yaadein, idhar dafan hain
Ab na janu tu kidhar hai

Kuch bataya, na samjhaya
Na behlaya, bas hue ghum
Lekin phir bhi yeh dil na maane
Tere saath hi rehna chahe

Batata mujhe koi
Woh aakhri baar ki mulaqat
Aakhri thi

Rok leta tumhe, bol deta tumhe
Jo baatein mann mein dabi thi

Rok leta tumhe, bol deta tumhe
Jo baatein mann mein dabi thi
Yeh kaisi saza, na yeh bhi pata
Tumhe yaad bhi hun ya nahi

Khwabon mein toh milo
Utna hi sahi
Dhundhta hun, tumko main gali gali
Yun hi hai zindagi

Chah hai, parwah nahi
Tere iraade khaalis nahi
Ab aisa hai toh phir, naa sahi
Salaam tumko hai aakhri



Credits
Writer(s): Arjun Pratap Chauhan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link