Hum Jee Lenge

Ye mere dil ka jaana
Ek aakhiri faisla hai
Ab saath hoga na tera
Ye dard ki intiha hai

Tha pyaar tera toh jhootha
Sachcha magar ye Khuda hai
Tanhaiyon mein hoon roya
Tab jaake mujhko mila hai

Duniya ke rishton mein toh
Ye hota hi raha hai
Laila aur Majnu bhi toh
Ek-doosre se juda hain

Tanhaai ka ashk mitayein yahan
Barbadiyan bhi sabko jaane mili hain kahan

Tere bina hum jee lenge
Phir kyun rahein koi gile?
Tere bina hum seh lenge
Woh zakhm jo tujhse mile
Haan, haan, haan

Hai rut nayi, mausam naya
Is daur mein kaisi wafa?
Bhar jaayegi teri kami
Mil jaayega ab kuch naya

Haan, khush hain ab hum toh
Tujhse kahan hum khafa hain
Tune chuna hai woh rasta
Tere liye jo bana hai

Ehsaan tera main maanun
Tanha mujhe jo kiya hai
Jo pyaar tera hai khoya
Lagta hai khud se mila main

Kisko mila sang umr-bhar ka yahan?
Wohi rulaaye, dil chaahe jisko sada

Tere bina hum jee lenge
Phir kyun rahein koi gile?
Tere bina hum seh lenge
Woh zakhm jo tujhse mile

Tere bina hum jee lenge
Phir kyun rahein koi gile?
Tere bina hum seh lenge
Woh zakhm jo tujhse mile

Tere bina hum jee lenge
(Phir kyun rahein...)
(Tere bina hum seh lenge)



Credits
Writer(s): Sayeed Quadri, Roxen Band
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link