Door Hai Tu

Door hai tu
Itna ke besahara udd na sakun
Door hai tu
Itna ke manzil hi dikhe, dikhe na tu

Tujhko talashu main
Apni aakhri baaton mein
Jo likhta hoon gaane sirf tere hi baare
Par hota na sab kucch bayaan hai
Na tere paas hoon main
Kyun hota phir tera ehsaas ab hai
Chhubte inn haathon mein kaaton se
Girte jab aankhon se meri yeh aansu hain
Aansu toh paani hai par
Paana mujhe tujhmein apna hai ghar
Jao jahan, na bhoolna
Adhoori kahani hamari idhar
Ho jaana sab kucch sahi
Waapis milenge hum dono kabhi
Iss soch mein khoya rahun
Aur dhundhun jawaabon ko main aaj kal

Bas itna de bata
Kyun hua tu gumshuda?
Iss bheed aur shor mein
Mujhe tanha chhodke
Bas itna hai pata
Na hona tha juda
Ab roz hi tere nishaan se
Dhundhun main tujhe

Door hai tu
Itna ke besahara udd na sakun
Door hai tu
Itna ke manzil hi dikhe, dikhe na tu

Ooo

Ho paas tu
Toh kardun khatam har shikwa-gila
Jaari rahe
Yaari yeh apna silsila
Ladd jaunga
Tere liye main saara jahan
Par gaayab aise
Tujhe dhundunga kahan?

Mujhe itna de bata
Kyun hua tu gumshuda?
Iss bheed aur shor mein
Mujhe tanha chhodke
Bas itna hai pata
Na hona tha juda
Ab roz hi tere nishaan se
Dhundhun main tujhe

Door hai tu
Itna ke besahara udd na sakun
Door hai tu
Itna ke manzil hi dikhe, dikhe na tu
Door hai tu
Bhoola hoon saare raaste par yaad tu
Door hai tu
Aur meri inn yaadon ki gehraiyon mein
Toh hai basa bas tu hi tu



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link