PRELUDE

Vaqiye youn dekhe aya naa ankhon pe bhi yaqeen
Aaasman se ghire pairon se nikal gayi zameen
Kabhi Mujhe mere is khayaal se khauf aaye
K ye zindagi bhala kis hisaab se tohfa ha?

Dil bhaari ha Jin baaton se ab Likhne beth gaya houn
To kiun na bas ab Likhdon is hi gaane mein?
Dastarkhan pe thay bethe chotay bhai
Puchen abu ko kiun dair ho gayi ha aaj aane mein?

Mein bhi sawaal ko unke nazarandaaz karoun
Aankhen Nam hone lagein hain Baaten ab ghumaane mein
Phir ek soch ye jaan'ne ka haq unhe bhi ha
Waise bhi Kya Faida Ye baaten ab chupaane mein

Nadaan thay wo Khair, Jese kese So gaye
Mein Saari Raat betha raha paas hi siraane se
Phir wahin Sawaal, Phir Mein lajavaab
Socha aaj bas Bata doun baap lotay ga nai thaane se

Kahan se laoun himmat k bata doun aisa sach
Jisko Mera Dil bhi maane pe raazi nahin
Samajh k Behtrii Sabar Kiya Shukar parha
Hairat ha k dil mein thi Udaasi nahin

Apne bhi Ghair ho gaye Waqt Aisa Sagga bana
Wafa meri maangta ha dil mein mere jagah bana
Maazi ki chaoun mein Sukoon Ka koi Dam nahin
Waqt pr Sulaane waala Jaagne ki Wajah bana

Waqt k saath ye Zakham Gehre ho gaye
Tere na aane ki khamoshi mein hum behre ho gaye
Veraniyon k baagh mein kuch badal baras gaye
Ye kaan awaaz teri Sun'ne ko taras gaye

Magar hum Zimedaariyon se Nahin Bhaage
Waqt Ruk Sa gaya phir bhi hum Bharhe aagay
Mehnat kar kar k mit gayi hatheli se Lakeeren
Par taqdeeron mein aseer thay, naseebon pr Zanjeeren

Zawaal bhi is Zindagi mein Dheet milla
Badalot jiske mujhe khud mein ik Adeeb milla
Teri muhabbat k Ujaalon se mazeed dil veraan hua
Teri yaadon se mein Gallay lag ke Eid milla

Tujhe Mujhse ye Doori kese naa paas karti
Samajh aati hain ab baaten kabhi thi udaas karti
Mein Nahin Chahta k Tum Dunya Mein Khuaar raho
Mujhe khone K liye Har Waqt Tayiyaar raho

Hum nai samjhe magar he knew the deal
Nobody stays Forever Everybody has Got to leave
Humen DoRne pe kar Diya halaat se majboor
Hum Ghulaab K thay aadi ab dekh pairon mein hain Keel

Kafan ban kr Jism Meri Zindagi ko Qabar kare
Waqt hi nahin guzarta wo bhala kese Sabar kare
Dounga mitaa khud ko is justjuu mein K
Baap Mere baare Sun'ne Muskuraa k Fakhar kare

Mere Liye Sabse Baari kaamiyabi ye
Qala mere kaash kabhi kaam aaati ye
Mujhse Zayada tha yaqeen Mere baap Ko Is Qala pe
Wo Sunkr Mere gaane Mere Hosle ko Barha de

Ye sirf shoq nai hain beta tere khuaab hain
Inke peeche bhaago choro jo bhi hota ha
Tum to karlo poore apne
Mujhse meri zindagi mein ye khuaab poore na ho paaye

Baap ko bola itna jaldi banta nai rapper koi
Wo bola meri nazar mein tujhse nahin ha behtar koi
Mein bola ye sab krne ka koi faida nahin
Wo bola jayegi teri mehnat raiga nahin

Mein to chahta houn tu zindagi mein na ruke
Tu mere hote hoye banjaa kuch dil tera na dukhe kabhi

Magar ye zindagi Ajeeb ha barrii
Sadiyon ka gham or par ek pak ki khushi

Magar ye zindagi
Ajeeb ha barri
Humne chaha jese zindagi kab ha waise challi?

To bas sahi ha jo bhi khudaa ne mere liye likhii
Baap ko ye gaana bhi ye sunaounga kabhi

K jab tu na tha paas mere
Maine likhe gaane tujhpe istemaal krke saare wo alfaaz tere

K jab tu na tha paas mere,
Tab bhi tassali si thi mujhe k ab bhi tu ha saath mere.



Credits
Writer(s): Sameer Asim
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link