Rait Ki Tarah

Rait ki tarah hi toh apni hai zindagi
Jitna bhi pakdo isse utna hi hai chhut-ti
Raaste khoye se hai
Khoyi si hai manzilen bhi
Dar lagta hai ke na kahin
Kho jaaun main bhi

Rait ki tarah hi toh apni hai zindagi
(apni hai zindagi)
(apni hai zindagi)

Kyu yahan rehte hai sab daud mein
Itni bhi kya jaldi hai sabko yahan
Main toh wahin thehra hua hoon ya
Peeche main kahin chhoot-ta ja raha
Kyu kinara dikhta nahi hai?
Kashti to hai chal rahi
Ab toh humne majdhar se hi karli hai dosti

Rait ki tarah hi toh apni hai zindagi
Ooo ooooo oooooo
Dhal rahi meri shaam par subha ka pata nahi hai
Kyun rait ki tarah, rait ki tarah yeh zindagi hai
Le rahe hai saans par sukoon hi nahi hai
Kyu rait ki tarah rait ki tarah yeh zindagi hai
Rait ki tarah hi apni hai zindagi
Rait ki tarah hi toh apni hai zindagi
Jitna bhi pakdo isse utna hi hai chootti



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link