Ho Tum Kahan

Ho tum kahan Gum hawa si
Jo dekhun toh milti nahi
Dhundu jahan tum wahan ho
Mehekti hui Zindagi

Ho tum kahan Gum hawa si
Jo dekhun toh milti nahi
Dhundu jahan tum wahan ho
Mehekti hui Zindagi

Kabhi na maine socha ye tha
K tum Chale Jaoge
Jo yaadein tumhari hain
Bas unhe chod jaaoge

Din raat guzaare jo
Unhe kaise bhulaoge
Jazbaat Humare hain
Inhe kaise mitaoge

Bas yaad baaki hai
Kuch saans baaki hain
Ab kehne bhi do na
Jo kuch raaz baaki hain

Jo haal mera hai
Tum jaante ho na

Ho tum kahan Gum hawa si
Jo dekhun toh milti nahi
Dhundu jahan tum wahan ho
Mehekti hui Zindagi

Ho tum kahan Gum hawa si
Jo dekhun toh milti nahi
Dhundu jahan tum wahan ho
Mehekti hui Zindagi

Is qadar hai darbadar guzara
Dhoondta hun aakhiri sahara
Aansuon se bheegta hun jyada

Aafaton mein naam tere shaamil
Fursaton k silsilon mein aa mil
Shabhnami h tera ye nazara

Main raakh hun is aag mein
Jalta raha teri yaad mein
Ho na Basar is shaam mein
Pucho kabhi khud se wajah

Mehfil mein tum mashroof ho
Baithe hain hum maikhaano mein
Mashoor tum hote gaye
Kar k humein gum-shu-da

Ho tum kahan Gum hawa si
Jo dekhun toh milti nahi
Dhundu jahan tum wahan ho
Mehekti hui Zindagi

Ho tum kahan Gum hawa si
Jo dekhun toh milti nahi
Dhundu jahan tum wahan ho
Mehekti hui Zindagi



Credits
Writer(s): Aman Dembla
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link