Main Kho Gaya

Noor tune jo bikhera adaon ka
Main na samjha, par koi ishara tha
Halka-halka behta jhonka hawaon ka
Mehka-mehka sa samaan

Aasmaan ka woh taara
Pheeka saara tere saamne hai maana maine, jaana
Rafta-rafta zara sa ho itr hawa mein ghula

Shaamon si hai woh khili, honthon pe surkhi badi
Aankhon mein jaadugari, main kho gaya
Khilte phoolon si hansi, zulfein thi bikhri padi
Dekha usko do ghadi, main kho gaya

Ruk si hi gayi hai
Tham gayi hai zindagi ki dor tujh pe aake
Dil mein bas gayi hai
Teri hansi hai aasmaan mein chaand-taare jaise

Chhod ke main meri mannatein
Main teri bol toh bolne se pehle poori kar doon
Raaste saja doon aaj main
Rakhe jo tu qadam tere jahaan wahaan

Aankhein teri samundar
Doobna main chahoon, mujhko koi na bachane aana
Phans gaya dil bechara, khwaab yeh pirone laga

Aankhon ko ho na yaqeen, itna kaise tu haseen?
Dekhi jaise ho pari, main kho gaya
Khilte phoolon si hansi, zulfein thi bikhri padi
Dekha usko do ghadi, main kho gaya



Credits
Writer(s): Kushagra, Diljan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link