Tu Hi Bata

Zindagi me meri
Jab se tu aagayi
Shukriya har dafa
Main khuda se karoon

Maine sajda Kiya
Aur maanga yahi
Har Janam har kadam
Main Tera hi banoon

Jaana maine jaana
Toh bas itna hi hai jaana
Mere Dil me tu basti hai
Ab tu aur kahin Naa jaana
Tere bin haan

Tere Bin meri saansen chalen
Na mere bin Teri saansen chale
Tujh bin jaaun ab main Kahan
Tu Hi bata

Kabhi Teri aankhon me khoya rahoon
Aur kabhi baaton me khoya rahoon
Kahin kho jaaun na poori tarah
Tu hi bacha

Rehmat mujhpe hui
Jo meri Tu Hui
Ab aur khwahish koi
Baaki nahi

Aanchal me main Teri
Simta rahoon sada
Aisa sukoon nahi
Aur kahin

Pehli dafa jab dekha tujhe
Toh Dil Mera cheekh ke mujhe
Ki rok ko khud ko pooch use
Ki kya tu aai Falak se
Tere bin Haan

Tere Bin meri saansen chalen
Na mere bin Teri saansen chale
Tujh bin jaaun ab main Kahan
Tu Hi bata

Kabhi Teri aankhon me khoya rahoon
Aur kabhi baaton me khoya rahoon
Kahin kho jaaun na poori tarah
Tu hi bacha



Credits
Writer(s): Hardik Patel
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link