Kabhi Nahi

Tu ab apna apna lagta hai
Toh us jalti basti ka Rasta hai
Tjhe tootne ka khauf ata hai
Tu woh makaan hai jo thorha khasta hai

Me Naam loun tera toh yeh dill bhagh bhagh hai
Kiya tjhe manga nahi ibadaton me jaag jaag k
Me niklgaya sahilo per Paak raat mein
Me toh jee Raha houn Zindagi ek khuwab maan k

Tum toh khuwab hogae ho
Mere khat ka jawab hogae ho
Usi bhagh me khrhe hein phool torhne ko Jaana
Tm toh Kanto mein gulab hogae ho

Jo smjh me na ae ho tum aj tk ajeeb hai
Tum toh jaun ki kitaab hogae ho
Pehle thorhe so yaad me Meri tum jaan ab behisaab hogae ho

Hum maaney ko raazi hein woh Teri shartein
Besaqta khrhe hoye hein aj Tere der pey
Socha lout loun wafaein phr ek baar
Suna hai Khali hath nahi jate Kisi k Ghr pey

Ab hum anqareeb ajnabi
Ab hum nazrein na milaein kabhi
Ab is dill ko khae ek Kami
Tu nahi raaz Aya mjhe

Kabhi Nahi Kabhi Nahi
Kabhi Nahi Kabhi Nahi
Kabhi Nahi Kabhi Nahi
Kabhi Nahi Kabhi Nahi

Woh na Aya Jo laakh bura hai
Shayad uljhano me hi Ghira hai
Saare phool jarhgae hein Khiza se
Chal prhi phr hijr ki Hawaein

Ankhein Thak jati hai, Tasveerein kehne lg jati hein
Kiya likhun Husn per ab Tere, Zulfein mohallaa mehkati hein

Kitabo ka piyar dhondhta houn
Beshumar jhoomta houn
Kbhi le Khabar
Mein Zindagi se bezar Ghoomta houn

Ab hum anqareeb ajnabi
Ab hum nazrein na milaein kabhi
Ab is dill ko khae ek Kami
Tu nahi raaz Aya mjhe

Kabhi Nahi Kabhi Nahi
Kabhi Nahi Kabhi Nahi
Kabhi Nahi Kabhi Nahi
Kabhi Nahi Kabhi Nahi



Credits
Writer(s): Jani
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link