Trishna Mein Rog Hai

Uttamagagen vandehan dhammmanchaduvidhanvaram
Dhammayo khalitodosho dhammokhamatu tan mum
...dhammokhamatu tan mum
...dhammokhamatu tan mum

Trishna mein roga hai, dukh hai
Dukh se mukti ka maarg hai
Dhamm ka bas yahi saar hai
Buddha kee sikh ka saar hai

Trishna mein roga hai, dukh hai

Aashaa ka sanchaar hai zindaa man mein
Ho, aashaa ka sanchaar hai zindaa man mein
Ho, fasata jaataa hai...
Ho, fasata jaataa hai maanav har vakt
Sakht vo lobh, moh ke daldal mein

Ho, aashaa ka sanchaar hai zindaa man mein
Fasata jaataa hai maanav har vakt
Sakht vo lobh, moh ke daldal mein

Lobh ke bandhanon se chhuto
Lobh ke bandhanon se chhuto
Ho, moh ka naa koyi ant hai
Dhamm ka bas yahi saar hai

Samyak drushti...
Samyak drushti, samyak ho sankalp
Vaani bhee samyak...
Vaani bhee samyak, samyak ho karma

O, anushaasit vyaayaam, aahaar ho
Smriti bhee samyak, samadhi asana
Maarg yahi ashtaang, maarg yahi ashtaang

Aacharan jo kare vo dhanya hai
Aacharan jo kare vo dhanya hai
Sukh kee bhee prapti phir anany hai
O, sukh kee bhee prapti phir anany hai

Trishna mein roga hai, dukh hai
Dukh se mukti ka maarg hai
Dhamm ka bas yahi saar hai
O, buddha kee sikh ka saar hai, saar hai

O, saar hai



Credits
Writer(s): Rajesh Dhabre
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link