Cold Life Freeverse

(Yeah)
R A J A
Mai hun garhwal se
Let's go
(hn)
Log pehchane pr koi na jaane
Hal-e-dil ab kisko sunaye
Jhuti dosti ke karte dikhawe
Or Mushkil padne pe sab marein bahane
Kuch banne tak duniya sunayegi taane
Banne ke baad lagege pair dabane
Zamaane ki fikar chhod lag ja tu kaam pe
Rukna nhi bhale pair ye kanpe
Tufan ke beech meri kasti bagawat pe
Kaise rokein issko tufan bhi afat m
Sir uthake hum chalege zindagi bhar
Sir jhukega nhi bhale ho kayamat m
Marna to hai hi, to daru kyu fokat m
Le jana nhi chahta pachtawe dhokarke
Balance acha kioki Sambhla hun thokar se
Mila nhi kuch mujhe iklota bhi hokarke
Kamane laga tha 17 ki umar se
Kaam bhi aisa jo bahar tha samajh ke
Kon samjhaye kya galat kya sahi
Kabhi rakha ni tha kadam iss duniya m
Hue akele, koi tha ni jo samjhe
Bikharne lage the pr khud ko sametein
Pr aise hi samaye pe dikhte asli chehre
Pata tabhi chalta kon apne paraye
Khudke hum sahare
Khudko hum sambhalein
Duniya ki na sunein
Bhs apno ki maanein
Paheli ye gaane
Aap buzho to janein
Mane kya sach
Sabhi ke muh pe laare(lies)
Hum wo nhi chato(chats) pe ratein guzarein
Hum wo ni jo baithe bhs rab ke sahare
Hum wo nhi Jo dete bhs kismat ko taane
Hum wo hein jo Mehenat se hunar tarashein
Hum wo nhi Jo rehte dilo ko dukhate
Hum wo ni jo karte jhute kasme wade
Hum wo ni jo pehne baithe 100 mukhote
Hum pehene bhs ek jisse ansu chupate
Khuda ne hein sabhi ko sapne dikhaye
Teri marzi Pura karna chahe na chahe
Gr chahe tu ki sapne pure ho jayein
To Mehenat hi Manzi ki ekloti rah hai
Sabar rakhein, Hum samajh rakhein
Chup hein pr saari hum khabar rakhein
Chehre ki hansi mera bharam rakhe
Hum Soch samajh ke har kadam rakhein
Jo samaj sake aisa na koi mila
Bhatakte musaafir se kaisi gila
Wo do din rahenge fir chalte banenge
Ek jagha ke liye unka dil nhi bana
Ab dil nhi karra ki hum kuch bhi karein
Bhs gaane banaye or baithe rahein
Thak se gaye shayad ladte hue
Pr aram ki bhi to ab adat nhi hai
Mili aram m bhi Rahat nhi
Aisho ayyashi ki chahat nhi
Bhs khahein jab duniyako hum alvida
To rehni chahiye koi shikayat nhi
Gaano se karu zindagi bayan
Gaana zindagi ka hissa bana
Jo dil m tha mere wo likhta raha
Kahi to mili mujhe meri jagha
Kahi to ab jake ye dil hai laga
Kahi se to aai tareefein zara
Kahi to hum logo ko psnd aa rahe hein
Kahi se to khudko mai samajh saka
Hn
Umeedein tooti meri
Pehli wali hansi chhuti meri
Raato ko jagke likhte hein gaane
To aankhein rehti meri sooji hui
Roshni ki na aadat mujhko zyada
Aadhero se bana hai kaisa ye nata
Din ke ujaale m niklu jab bahar to
Aakho ko zyada mai khol ni pata
Akele bhs kamre m band
Khud ke demono(demons) se chal rahi hai jang
Berang zindagi ko rang se bhar denge
Bhs ek baari jayein jo chahein wo ban
Beman, baithe hue job pe hum
Sabar tootne ki nook pe hum
Kabhi lage kafi lamba safar
Kabhi lage bache ab bhs do hi kadam
Zehen m aate sawal hein kai
Mehnat ka fal sabhiko milta hai ya nhi
Khudko mai fir iss uljhan se nikalu
Ki mehnat ke alawa kya kar sakta hai hn tu
So Just do your best
Success ko Kar menifest
Tootne na dena ye honsle
Abhi chadhne ko bacha hai Everest
Don't worry man
I know you can
Sab jaane strong hai tera pen game
Bhs kuch der
Reh iss track pe
Mili m aayenge log tujhe sunne
Jo Khwab dekhe tune
Wo Khwab honge pure
Bhs Khud pe bharosa rakh
Khwabo ko de waqt
Or yakeen rakh
Aayega mera waqt



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link