Ae Dil Hai Mushkil - Sped Up
Tu safar mera, hai tu hi meri manzil
Tere bina guzaara, ae dil, hai mushkil
Tu mera Khuda, tu hi duwa mein shaamil
Tere bina guzaara, ae dil, hai mushkil
Mujhe aazmaati hai teri kami
Meri har kami ko hai tu laazmi
Junoon hai mera, banoon main tere qaabil
Tere bina guzaara, ae dil, hai mushkil
Ye rooh bhi meri, ye jism bhi mera
Utna mera nahin, jitna hua tera
Tune diya hai jo woh dard hi sahi
Tujhse mila hai toh inaam hai mera
Mera aasmaan dhoondhe teri zameen
Meri har kami ko hai tu laazmi
Zameen pe na sahi toh aasmaan mein aa mil
Tere bina guzaara, ae dil, hai mushkil
Maana ki teri maujudgi se ye zindgaani mehroom hai
Jeene ka koyi dooja tareeqa na mere dil ko maaloom hai
Tujhko main kitni shiddat se chaahoon, chaahe toh rahana tu bekhabar
Mohtaaj manzil ka toh nahin hai, yeh ek tarfa mera safar
Safar khubsoorat hai manzil se bhi
Meri har kami ko hai tu laazmi
Adhoora hoke bhi hai ishq mera kaamil
Tere bina guzaara, ae dil, hai mushkil
Tere bina guzaara, ae dil, hai mushkil
Tu mera Khuda, tu hi duwa mein shaamil
Tere bina guzaara, ae dil, hai mushkil
Mujhe aazmaati hai teri kami
Meri har kami ko hai tu laazmi
Junoon hai mera, banoon main tere qaabil
Tere bina guzaara, ae dil, hai mushkil
Ye rooh bhi meri, ye jism bhi mera
Utna mera nahin, jitna hua tera
Tune diya hai jo woh dard hi sahi
Tujhse mila hai toh inaam hai mera
Mera aasmaan dhoondhe teri zameen
Meri har kami ko hai tu laazmi
Zameen pe na sahi toh aasmaan mein aa mil
Tere bina guzaara, ae dil, hai mushkil
Maana ki teri maujudgi se ye zindgaani mehroom hai
Jeene ka koyi dooja tareeqa na mere dil ko maaloom hai
Tujhko main kitni shiddat se chaahoon, chaahe toh rahana tu bekhabar
Mohtaaj manzil ka toh nahin hai, yeh ek tarfa mera safar
Safar khubsoorat hai manzil se bhi
Meri har kami ko hai tu laazmi
Adhoora hoke bhi hai ishq mera kaamil
Tere bina guzaara, ae dil, hai mushkil
Credits
Writer(s): Pritam Chakraborty, Amitabh Bhattacharya
Lyrics powered by www.musixmatch.com
Link
© 2024 All rights reserved. Rockol.com S.r.l. Website image policy
Rockol
- Rockol only uses images and photos made available for promotional purposes (“for press use”) by record companies, artist managements and p.r. agencies.
- Said images are used to exert a right to report and a finality of the criticism, in a degraded mode compliant to copyright laws, and exclusively inclosed in our own informative content.
- Only non-exclusive images addressed to newspaper use and, in general, copyright-free are accepted.
- Live photos are published when licensed by photographers whose copyright is quoted.
- Rockol is available to pay the right holder a fair fee should a published image’s author be unknown at the time of publishing.
Feedback
Please immediately report the presence of images possibly not compliant with the above cases so as to quickly verify an improper use: where confirmed, we would immediately proceed to their removal.