Kashmakash

Khuda ki rehmat padh sakra hoon
Bina pareshaani
Khuda ki rehmat
Jeevan me utni hai chinta ni
Khuda rehmat barsade
Unpe bhi tu yoon zara si
Jinko ni milti roti 2 waqt ki aur

Haani mai na pahunchau
Kisi ko bhi kabhi galti se
Jhukadun sar bina sharm
Jab bhi galti hai
Aur rakhun uncha jab bhi
Haq ki mere baat ho
Upar se dekhte rehna
Jag ki kya aukaat ho

Mai bas sajaate rahun bol
Aur ye baatein gehri
Mai bas banaate rahun geet
Aur ye raatein thehri
Mai bas dikhaadun poori duniya ko
Kya hoon mai
Phir bhi rahegi meri fan meri
Maa hi pehli

Kabhi na kisi ki kaamyaabi
De mujhe stress
Kabhi na kisi ke kaam ko
Dedun mai koi thes
Kabhi na khuda mere
Tujhse door hojau mai
Jis din lagun mai door
Bula lena tere desh

Yeah
Tujhse upar bhala kya hi hai
Gar koi hai to sach bolun wo meri maa hi hai
Mai usko keh ni paata
Mere dil ki baat kabhi
Ye jaane khuda kashmakash si kya hi hai

Kashmakash si kya hi hai
Kashmakash si kya hi hai
Kashmakash si kya hi hai
Kashmakash si kya hi hai

Shikasht mile kabhi to
Hanskar tujhe dekhun
Aur jeet me bhi
Tujhe mai to khoob bhet doon
Pata nahi kitne aage tak hai ye safar
Manzil ke roop me
Saaya tera sajte dekhun

Hmm
Ye music rakhta sane mujhe
Na kabhi galat lene deta koi lane mujhe
Gar dard me shabd hojaate asardaar is kadar
To khuda mere dete rehna pain mujhe

Ye gaane kab bane jeevan mujhe ilm na
Par diya jeevan to mai abhaari hoon inka
Inke bina khaatirdaari karti hai duniya saari
Sach kaha kisine mehmaan hoon 4 din ka



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link