REGRET

Hara hun andar ke Shor se main
Mara bhi khudko hun Jor se main
Tanaha khada Kamjor hun main
Khudki hi halat hai
Lagti ab aafat
Dil to hai kahta Mature hun main
Khudko hai lagta Jhakjhor du main
Khwabon ko saare Yun tod dun main
Yaadon ko kinaare Pe chhod dun main
Tod kar rishte sare jahan
Dil to hai kahta
Muh mod lun main
Khwabon ko wapas se
Jod lun main
Yaadon ko wapas hi
Mod dun main

Gairon ki khatir
Hun khudke khilaaf
Kaise karunga main
Khudko hi maaf
Dhundli si aankhon mein
Dikhta ni saaf
Gairon ki khatir hun
Khudke khilaaf
Dekar dilase
Is dil ko hi jhuthe
Han deta raha hun main
Gairon ka sath
Khudko hai mara
Han khudke hi haath
Dushman khade the
Han mere hi sath

Shamil raha tha
Main gairon mein
Bedi bandhi thi in pairon mein
Sabko bataya nhi gam mere
Bas aashun chhupaye chehron mein
Andhera saa aankhon mein chhaya raha tha
Mujhse hi dur mera saya raha tha
Rahi ganimat main haara nahin
Kismat se apna kinara raha tha

Uljha khada hun main
Uljhan mein yun
Milta nhi koi hal ni kyun
Khoi na jane hai kismat ye kyun
Paya abhi tak isara nahin hun
Thokar pe thokar han milti rahi hai
Paya abhi tak sahara nahin hun
Ladta rahunga main gin gin kar saansein
Musibat se kahna main hara nahin hun
Jajbe ko jahan mein mara nahin hun
Ladta rahunga main gin gin kar saansein
Musibat se kahna main hara nahin hun
Uljha raha hun main uljhan mein yun
Ki paya abhi tak kinara nahin hun
Fir bhi main ladta rahunga hi yun
Kismat se kahna main hara nahin hun
Kismat se kahna main bechara nahin hun

Jise kahte ho rishta
Vo rishta nahin hai
Do din hi chal kar vo
Ghista nahin hai
Wafa hi mile
Jo wafaon ke badle
To rishta yun rish ke
Bikharta nahin
Khudgarji hain sab
Koi farista nahin hai
Thokar hi khate hain
Ye thokar khilate hain
Hain khudargi
In logon ka rishta nahin
Inse han koi rishta nahin



Credits
Writer(s): Fanindra Bhardwaj
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link