Sajna Tu

Sajna tuu sajna tuu
Aao chale kahi pe door
Sajna tuu sajna tuu
Kya hai dua tera chehra hua fitoor

Mere tere bina charche nahi ghar pe
Tu aake haath thaam dhadkane padh le
Khuli kitaab tu bas aayegi na padhne
Tera dil mera naam le hum sun ke bikhar le

Kya wo raat meri jaante ho tum
Jo faasle bana ke jaana ho gaye the gum
Bhatakte musaafir makaan na mila aur
Jo jode the panne wo khoo gaye kyu

Mera dil toda thoda aur thoda sa pagal
Duniya ke taane aur ghar se bagaawat
Aise toh raahat tha tera sirhana
Ab tere dil ki bhi Rakhi na hai chahat

Sapne me tu na khwaab mere hai nilaam
Teri keemat hi toh laga paaye naa janaab
Teri hasi pe luta aaye zamana tere bina
Mera koi nahi hoga socha naa tha aaj

Kya ye pyaar mera khwaab tha
Kya ye zindagi tamasha aur mai
Ho raha bimaar tha

Kya ye dil mera tha khilauna
Kya ye mann tera behla saka
Bhi naa naakaam tha

Bhi nakaam tha
Bhi nakaam tha

Meri zindagi tamasha
Aur mai ho raha bimaar tha

Sajna tuu sajna tuu
Aao chale kahi pe door
Sajna tuu sajna tuu
Kya hai dua tera chehra hua fitoor

Bata jaane kyu tu firse aati hai khwaab mai
Khafa khaane baitho sazaaon me hain faasle
Dafa har dafa mujhe todte jaaoge
Bata kar na suna wo jo kaha tha maine aap se

Fill me a glass ab nahi half le rhe
Han mehfilon me hataash hote khwaab mere
Tu mere aankhon me basera
Karke dekhta hai aasmaan aur
Dil ko mere dekh bhi nahi sakega dil mere

Han bhegte rehte hain raaton me
Seekhte rehte halaaton se
Ye ghum e shaam badi kaatilaana
Aur hum khoon bahate hain khudke janaazon pe

Kisi se milta nahi pyaar kitaabo ka
Dil e diwaar pe aayi daraaro ka
Deemako ne mera khwaab sameta hai
Aankhe numaaish me chehra bas tera

Basera ho mehlon me tera aur ek baar ko tu
Mujhe bhi dekhna
Tu dekhna kalakaar aur us
Kala ke peeche ka dard sametna
Aur fir jab mai poochu is
Kalam aur khanjar ke baare
Toh aarzu khanjar ki lena aur keh dena

Shhh tu hi pyaar tha mera

Ab Tera hi rehta basera
Aur teri hi yaadon me
Hota savera
Tu shayari meri
Rakeeb lootera
Ye kaagaz ka dil
Hai tu lehro pe rehta

Han rehte tum lehron pe dilon ke
Han kehte tum keh doge miloge
Han kaidi hai arso se waade ke
Aur waadon pe tum bhi na thehroge

Jaane ye kaisa iraada tha
Tere se dil bhi lagana tha
Lootana tha tujhpe hi saara khazaana
Par tere liye woh zamana tha

Toh aakhri baar bata du ye jaana
Ki tu hi toh mera zamaana tha
Tu hi toh mera zamaana tha
Haan tu hi toh mera zamaana tha

Sajna tuu sajna tuu
Aao chale kahi pe door
Sajna tuu sajna tuu
Kya hai dua tera chehra hua fitoor



Credits
Writer(s): Vansh Mirche
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link