Bhuji Huwi Shama

Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon, Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon
Ke Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai, Ub Apni Hasti Mita Raha Hoon

Teri Hi Soorat K Daikhnay Ko, Butoon Ki Tasveerin La Raha Hoon
Ke Khoobiyaan Sub Ki Jama Ker Ke, Tera Tasawwar Jama Raha Hoon

Kafan Mein Khudh Ko Chupa Dia Hai, Ke Tujh Ko Parday Ki Ho Na Zehmat
Naqaab Apne Liyeah Bana Ker, Hijaab Tera Utha Raha Hoon

Udhar wo ghar se nikal pare hein, idhar mera dam nikal raha hai
Ilahi kaise hai yeh qayamat, woh aa rahe hein mein ja raha hoon

Muhabbat Insaan Ki Hai Fitrat, Kahaan Hai Imkaan E Tark E Ulfat
Woh Aur Bhi Yaad Aa Rahay Hein, Mein Un Ko Jitna Bhula Raha Hoon

Zubaan Pay Labaik Her Nafas Mein, Jabeen Pay Sajda Hai Her Qadam Pay
Yoon Ja Raha But-Kaday Ko Natik, Ke Jaisay Kaa'bay Ko Ja Raha Hoon

Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon, Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon
Ke Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai, Ub Apni Hasti Mita Raha Hoon



Credits
Writer(s): Nusrat Fateh Ali 00162342985 Khan, Mujahid Mubarak Ali Khan, Farukh Fateh Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link