Azaad

Hun main jabse khud se hara
Karke sabse main kinara
Hokar khudka main sahara
Hun main aaya ab us mod pe
Ye khwahishen main jod ke
Rishte naate tod ke
Un ummidon ke mod pe
Han aa gaya sab chhod ke
Vo jali rishte tod ke

Vo farji rishtedaaron se
Khudgarji juthe yaaron se
Main paya hun chhuthkara
Ab to jaali davedaaron se
Juthe rishtedaron
Han juthe saare yaaron se
Main Paya hun chhutkara
Ab to farji un gaddaron se

Han paya hun chhutkara
Main to jhuthe juthe pyaar se
Dogle se yaar se
Us jali rishtedaar se

Akhirakaar hun is paar main
Khudke sath khud ki haar mein
Khud hun shamil main to yaar
Khud ki jeet ke tyohaar mein

Ab na chahiye sahara
Nahi chahie dobara
Karke sabse main kinara
Hoke khudka main sahara
Hun aaya ab us mod pe
Ye khwahishen main jod ke
Han rishte naate tod ke
Un ummidon ke mod pe
Main aa gaya sab chhod ke
Vo jali rishte tod ke

Dhundun na koi ab thikana
Khud ko hai maine pahchaana
Hun mana main khas nahi
Par main koi jinda lash nahi
Han mana koi mere pass nahi
Mera khasamkhaas nahi
Par mujhko bhi talas nahi
Mujhko koi talash nahi



Credits
Writer(s): Fanindra Bhardwaj
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link