Wakey Wakey

Udd raha hu mai
Sunn saku ye gehraaiyaan
Pighal raha hu mai
Kr raha mehsoos nayi duniya
Kuch pal ko maine khud ko marte dekha hai yaha
Kabhi barf se dhaka kabhi peeli aag se jala
Ek challang me baadalon ke upar ka raasta ban gya
Ha saare panchi gaa rahe mere suur me
Aur pairo ke sang naache hawa
Shaam ka pehla kaala baadal aakhon me yu samaya
Dafnayi thi jo yaadein un yaadoin me yu tadpaya
Ke andhere se aayi ek awaaz
Wakey wakey
You drowning in the ocean
Wakey wakey
You drowning in the ocean
Dur pahaadon pe khile ye phool kitne saare
Fus fusa rahe hai wo kabhi naam mera pookarein
Pattharon se takrata ye jharna rang udaayein
Iss rang ko chuune aaye baadal har kinaare
Kuch pal ke liye meri baat hui khudse kuch iss tarah
Na pata waqt ka na thikana mera mai bus keh raha
Nain khaayal ki raftaar roshni se kayi guna
Na mujhe rukna na koi roke
Mai jaise paani ban gya
Shaam ka pehla kaala baadal aakhon me yu samaya
Dafnayi thi jo yaadein un yaadoin me yu tadpaya
Ke andhere se aayi ek awaaz
Wakey wakey
You drowning in the ocean
Wakey wakey
You drowning in the ocean



Credits
Writer(s): Somnath Bardhan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link