Solace

Yeah

Dil ki ye batein mujhe chubhne lagi
Ho rahi hai mujhe ab khud ki kami
Kehta hu harpal ke use bhula chuka hu
Gaane sunke ankhon mein fir kyun aayi nami

Mujhse kehte log, tu milta humse nahi
Wo kya hi mile, jo milta na kabhi khudse
Likhta hun gaane taaki gham ko chuppa lun
Par ye gham mere saale kabhi mit-te nahi

Band kamro mein khud se hi baatein karu
Uski kaali ankhon se bhi kaali ratein ratein karu
Jab soch na paaun to harpal khud se hi ladu
Akhir insaan hi hu na, kitno ko maaf karu

Jab milun to log mujhse puchte hain
Bhai agla gaana kab ho nikal rahe?
Unhe kya bolu, gaane to main roz hi nikalu
Par mere gaane kitne log hain sun rahe?

Kabhi kabhi lagta hai, band kar dalu sab
Agar kuch hua nahi, aakhir kya karunga tab?
Fir bachpan ki wo baatein mujhe yaad aati
Karm nhi karunga to fal kaise dega rab

Kar apni band aankhein, chalta jaa raha hun
Apni is shayari mein, kahani ko gaa raha hu
Nazmein suna raha hu, masle suljha raha hu
Bewajah hi bewafa si zindagi ko chah raha hu

Kya bolun ab khudko main
Jo kholun apne pankh main
Dekhun main, jab khudko yun
Puchu aakhir zindagi se firta kyun bhagu main?

Ye raasta mera nahi
Par aayega savera bhi
Bahon ko, kholu main
Ankhon mein khwabo ko apne sanjolu main



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link