Kali Kali Zulfon Ke

Kali Kali Zulfon K Phande Na Dalo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Wale

Ap Is Tarah to Hosh Uraya Na Kijie
Yun Ban Sanwar K Samney Aya Na Kijie

Na Chero Hamain Ham Sataye Huwe Hain
Bohat Zakhm Seene Pe Khaye Huwe Hain
Sitam Gar Ho tum Khoob Pehchante Hain
Tumhari Adaon Ko Ham Jante Hain
Daghabaaz Ho Tum Sitam Dhane Wale
Fareeb e Muhabbat main Uljane Wale
Yeh Rangiin Kahani Tumhi ko Mubarik
Tumari Jawani Tumhi Ko Mubarik
Hamari taraf se nigahain hata lo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Wale!

Mast Nkhon Ki baat chalti hai
Mehkashi karwatay badallti hai
ban sanwar kar wo jab nikalte hain
Dil kashi sath sath chalti hai
haar jate hain jeetney wale
wo nazar aisi chaal chalti hai
jab hatate hain rukh se zulfon ko
chaand hasta hai raat dhalti hai
bada kash jaam tor dete hain
jab nazar se sharaab dhalti hai
Kia qayamat hai un ki angrai
kich k goya kamaan chalti hai
yun haseeno ki zulf lehraye
jese nagan koi machalti hai

Sambhalo zara apna anchal ghulabi
dikhao na has has k ankhen sharabi
Sulook in ka dunya main acha nahi hai
haseeno pe ham ko bharosa nahi hai
uthate hain nazrain to girti hai bijli
ada jo bhi nikli qayamat hi nikli
jahan tum ne chehre se anchal hataya
wahin ahl e dil ko tamasha banaya
khuda k liye ham pe dore na dalo
h
Hamain zinda rehne do ae husn walo!

Sada waar karte ho tegh e jawan ka
Bahate ho khoon tum ahle wafa ka
yeh nagan si zulfain yeh zehrili nazrain
wo pani na mange yeh jis ko bhi das lain
wo lut jaye jo tum se dil ko laga le
*something* hasraton ka janaaza utha le
hain maloom ham ko tumhare haqeeqat
muhabbat k parde k karte ho nafrat
kahin aur ja k *something* uchalo
DMP990



Credits
Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Farrukh Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link