Adhuri Shaam

Kaise rahi ye shaam meri aadhi adhuri
Kisne zuban pe baandhi ye lafzon ki dori

Sunte rahe hum bas unki baatein
Khudki humne na maani
Agar bas jo chalta unke ho jaate
Mann mein thi ye baemani

Kaise rahi ye shaam meri aadhi adhuri
Kisne zuban pe baandhi ye lafzon ki dori

Dhara jo mann ki ye tasveer kehti hai
Samjhe ise kyun na tu?
Mere khayalon mein tere tarane hain
Kaise bayan main karun?
Khoye tere sawalon mein
O re, teri dalilen ye na samjhe mera pyar

Arre, dhokha hai sab ye, jhoothe hain saare
Kisne buni ye kahani?
Kaise rahi ye shaam meri aadhi adhuri
Kisne zuban pe baandhi ye lafzon ki dori

Gumsum se, gumsum se, baithe kinaron pe
Jaane kyun hanste ab jaati inn naavon pe
Paya hi kya tha jo maine gavaya hai?
Aankhon se yaadon ka sagar bahaya hai

Halke hi hote hain paani ke rang
Do pal chadhe fir mit gaye hum
Hum aur tum
Mit gaye
Hum aur tum
Hum aur tum

Dharti ko jaise sawan ki khwahish
Aisi thi meri jawani
Kaise rahi ye shaam meri aadhi adhuri
Kisne zuban pe baandhi ye lafzon ki dori



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link