Krushn aur Krishnaa

Jabh bhaagvat ke saar ko
Dohraake kar diya amar
Toh panchali aur govind ke charcho se
Sab kyun bekhabar?

Bhakt bole ya Bhagini
Ya bhagwaan ki sakhi
Panchaali se Panchami
Banne ki gaatha, Kanha ne rachi!

Dosti ki misaale ye phiki
Thodi meethi zyada teekhi
Hazaaro mein, Laakhon mein, Sadiyon se
Ek hi hai, Ek hi hogi

Krushn aur Krishnaa ki Kahaani
Yudh ki Gaatha se badhkar ye suhaani!

Krushn aur Krishnaa ki Kahaani
Yudh ki Gaatha se badhkar ye suhaani!

Chakra ki chot ungli sajaayi
Bhagi bhagi dekh ye vo chali aayi
Rakt ko rokne resham ko faada
Raksha ka daur naya likh daala
Kapde ki keemat anokhi lagaayi
Dushashan ne niyat na nibhaayi
Haath jodke pukaaara sakha ko
Sakhi ke aansu na bhaaye sakha ko!

Charitra kauravo ka cheer diya
Kar resham ki varsha karz sau gun kiya!

Dosti ki misaale ye phiki
Thodi ye meethi zyada teekhi
Hazaaro mein, Laakhon mein, Sadiyon se
Ek hi hai, Ek hi hogi

Krushn aur Krishnaa ki Kahaani
Yudh ki Gaatha se badhkar ye suhaani!

Krushn aur Krishnaa ki Kahaani
Yudh ki Gaatha se badhkar ye suhaani!

Sakha bhavati dharmah!
Sakha bhavati guruh!
Sakha bhavati Satyam!
Sakha samanam Aatma!
SAKHI BHAVATI SAMPRATI
SAKHI BHAVATI PRIYAH
SAKHI BHAVATI SAMSATIH
SAKHI SAMANAM AATMA!
Krushn aur Krishnaa ki Kahaani



Credits
Writer(s): Darshan Shah, Tirth Thakkar, Hrutul
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link