Khwaab

Jab tu ho mere saamne
Har manzar apna sa lage
Kho jaayein gham Sur me kahin
Phir jaane kyon darr sa lage
Sunn mere saathiya mujhe tu itna de bata
Yun hi rahega tu ya mere khwaab tod jayega

Mujhe pata hai kya hota
Hai do dilon ke milne se
Baney jo pyaar me sapno ke ghar
Unhe bhi dekha hai tootte

Kismat ne tujhko kyon chuna
Iss banjaare ka humsafar
Shayad teri hi thi kami
Hai ab aasaan mera basar
Kyon lagta mujhe ki ek din bhi aayega
Hum ruk jayenge Ye safar tham jayega

Jahan rahe roshni wahin andhera bhi chupa
Kahaniyan huyi jo poori
Wo bas kita-bon me likha

Kya tu mujhe iss zamane ke bheed me bhi dhund kar kareeb mere aayega
Thaam mera haath wahan se dur mai jahaan hoon mehfooz le jayega
Dil ye mera hai kamzor sa naadaan se naa dard me kaha hai jaata
Itna mai jaanu ki tera sang hona mere jeene se bhi jyada laazmi hai
Haan tumse kabhi galatiyan ho jayein toh
Kya unki wajah ye waqt bann jayega

Jo mai rahun dur tujhse hamari zindagi sanwarne
Tu meri raah dekhna ki meri hayat hogi tere saamne



Credits
Writer(s): Ankit Kumar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link