Tamasha (feat. Yashal Shahid)

Mil ke to yoon laga jaise hamesha se apne hi the
Shaayad mere liye ban ke gumaan tum rah gaye
Tu ghair hi to hai, par apna hi kyoon lagta hai?
Chalo maan lete hain, mujh se juda tu rah sakta hai

Tujhe kya khabar, tujhe dil mein basa rakkha hai

Mujh ko to tu ne tamaasha bana rakkha hai

Ye zaroori to nahiin hai ki hamein yaad bhi aaye dobaara
Par ye mumkin hai ki koi aur na ban paaye hamaara
Ye pyaar hi to hai jo dard hans ke hi sahta hai
Khayaal hi to hai, bikhre huye ehsaas mein bahta hai

Tujhe kya khabar, tujhe apna bana rakkha hai

Mujh ko to tu ne tamaasha bana rakkha hai
Mujh ko to tu ne tamaasha bana rakkha hai
Mujh ko to tu ne tamaasha bana rakkha hai
Mujh ko to tu ne tamaasha bana rakkha hai

Khaamosh baithi gungunaati hoon, tujh se rishta puraana
Mere hamraaz, tu laut ke aaja, dil dhoondta phir bahaana
Abhi, yaar mere, koi faisla na likh
Hai yaqeen tumhein, laut ke aana hai

Mere ham-nava, bata, kya tu ne chhupa rakkha hai?

Mujh ko to tu ne tamaasha bana rakkha hai
Mujh ko to tu ne tamaasha bana rakkha hai
Mujh ko to tu ne tamaasha bana rakkha hai
Mujh ko to tu ne tamaasha bana rakkha hai

Credits
Writer(s): Atif Ali, Muhammad Mueen
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link