Khamoshi

Tere bin bikhra hu mai
Tute sab dhaage uljhe
Dil hai hi naazuk itna
Tujhpe hi aake ruke

Raat ki baatei maane
Woh zara si hosh mei
Naraz hai awaaz
Shor bhi khamosh hai

Khaamoshi pal bhar ki haasil hai
Hai toh filhal meri hi

Phir jo bhatka uss gali mei
Zehen mei hai awaz kesi
Ki aadatein hai pehle jesi
Zakhm na du unhe
Jinmei hai nishaan kai
Dard de gya hu laakh
Gina kru sirf tere

Mai hi hu woh musafir
Bheed mei khud ko dhundhe
Saare din ek se haasil
Apnake phir woh kehte

Azaadi woh roshni
Ek parchaai hai tu
Ghar ki khabar nhi
Dhundhe raah unki tu

Izhaar krdu meri aankho se
Rahega raaz mere paas

Teri ore chal rha
Dekho phirse yu fisal rha
Waqt dhundu yaa wajah
Nhi shauq ki koi jagah
Phirse iss nasamajh ko
Jeene ki aadat sikhaa
Meri sardiyo ki subah mei
Bheegi baarisho ko laa

Tere bin bikhra hu mai
Tute sab dhaage uljhe
Dil hai hi naazuk itna
Tujhpe hi aake ruke

Raat ki baatei maane
Woh zara si hosh mei
Naraz hai awaz
Shor bhi khamosh hai

Khaamoshi pal bhar ki haasil hai
Hai toh filhal meri hi



Credits
Writer(s): Jay Vadhawana
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link