TOO CLOSE, TOO FAR

Ab sama tou, par tum ho na yahan
Gham tere hein milay par to tou na mila

Hona tha juda kismaton mein gar
Tou kiya hi kyun mere dil mein yun ghar
Yakeen kar mera mein tere liye
Puri is duniya se jaunga lar

Waqt bura hai, waqt siyah hai
Waqt k kahan koi kahan tika hai
Ponch k manzilon k itna paas
Mein tou tanha aur bethe ho tum bhi udaas
Kyun bethe ho tum ab udaas
Wafaon ko samjha mazak
Wafayein kyun bani azaab

Ab sama tou, par tum ho na yahan
Gham tere hein milay par to tou na mila

Waja tum bani zakhmon ki meri,
Dun dua mein ya baduayein hi dun
Suna hai baray tum shayar banay
Kahaniyan meri bhi likho bhi

Phool mein kaatein, kaaton mein tum ho
Ghar tou jala dun par yaadon mein tum ho
Qasam tumhein hai ab dil na lagana
Apne mein rehte khayal ghum ho
Auron ki parwah aur karte nai tum lihaaz
Kyun karte nahi tum lihaaz

Ab sama tou, par tum ho na yahan
Gham tere hein milay par to tou na mila



Credits
Writer(s): Danish Roomi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link