Tu Hain Toh (From "Mr. And Mrs. Mahi")

Koi nahi mera, zarurat teri
Laage na jiya, dekhoon na jo surat teri

Tu hai to dil dhadakta hai, tu hai to saans aati hai
Tu na to ghar ghar nahi lagta, tu hai to dar nahi lagta
Tu hai to gam na aate hain, tu hai to muskurate hain
Ki tere bin so nahi sakte, kisi ke ho nahi sakte

Tu hai to...

Tu hai to...

Tujhse mera jeena-marna, jaan tere haath mein
Sau janam bhi kam kyun laagein? Laage tere saath mein
Main musafir, tu musafir is mohabbat k safar mein
Do ekele royein mil k, mil k dono rab k ghar mein

Saath tere na safar, wo safar nahi lagta

Tu hai to dil dhadakta hai, tu hai to saans aati hai
Tu na to ghar ghar nahi lagta, tu hai to dar nahi lagta
Tu hai to gam na aate hain, tu hai to muskurate hain
Ki tere bin so nahi sakte, kisi ke ho nahi sakte

Tu hai to...

Hai agar ye khwaab to fir neend na toote kabhi
Saans choote haath se, per haath na choote kabhi
Main nasamaj-nadaan hoon, aake mujhko thaam le
Laage mujhko rab bulaye, jab tu mera naam le

Tu samandar gehra hai, sagar nahi lagta

Tu hai to dil dhadakta hai, tu hai to saans aati hai
Tu na to ghar ghar nahi lagta, tu hai to dar nahi lagta
Tu hai to gam na aate hain, tu hai to muskurate hain
Ki tere bin so nahi sakte, kisi ke ho nahi sakte

Tu hai to...

Tu hai to...



Credits
Writer(s): Bunny, Sagar, Hunny
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link