Gumraaha Jaaha

Sabhi ko dikhti hai shohorat
Sabhi ko dikhta hai paisa
Na matlabh kisi ka kisi se
Shayad main bhi hun inke jaisa

Saaye hi saaye hai
Aadhmi hi nahi hai yahan
Bheed mein chal rahi
Kismat ki kathputliyan

Haan Yahi hai
Gumraaha Jaaha
Matlabh ki dhun pe
Jhoomo yahan
Apne naqaabon ko
Pehno wahan
Gum jaao isme yeh hai
Gumraaha Jaaha

Hateli ki lakeeron se bhi gehra
Yeh mera zakhm-e-nishaan
Badalte chehere har raah pe hai
Badal raha hai yeh Jaaha

Khudh hi ko khudhse abh dhundhta hu
Raaston pe main yahan
Kya iss Jaaha mein Gumraaha hun main
Ya yeh Jaaha hai Gumraaha

Sabhi Ko hai Zid Aasma ki
Hai dikhta sabhi ko savera
Udna hai sabko yahin pe
Kya yahi hai mera basera

Khwaabon ke liye
Ek dooje ko kuchle pade
Bheed mein chal rahi
Kismat ki kathputliyan

Haan Yahi hai
Gumraaha Jaaha
Matlabh ki dhun pe
Jhoomo yahan
Apne naqaabon ko
Pehno wahan
Gum jaao isme yeh hai
Gumraaha Jaaha



Credits
Writer(s): Siddharth Gupta
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link