Nayi Subha

Ab raato ko mai dekho so na pa raha
Haan neendo ko halato se chura raha
Haan khwabo mai bhi chubte hai jo dastaan
Mita hi doon unhe ya khud ko na pata
Hai gum na ek na hai ek hi silaa
Ae tu bata ki hum hai kabse gumshuda
Mai kho chuka hoon mujhse poocho na vajah
Ye faaslein na poore honge is dafa
Ye kapkapahato se hoon bacha raha khud ko
Nahi milna chahta hu mai jald hi apne rab ko
In thandein pairo se chal rahe kankaro pe
Hai khauf na, dard na ab is badan mei
Haan aisa nahi ki mai khush hi hoon nahi
Mukhaute pehente ho bas tumhi nahi
Utar do inhe aur dard se abhi
Chilaaaa
Chila lo aise jaise koi na ho sun raha
Sharab ka gilaas aansuon se bhar raha
Jab aaye hosh toh firse himmat kar saku nahi
Ye siskiyo mei milta ab mujhe sukoon nahi
Koi galti ki hai ye saza kya ae khuda
Haan mushkilo se apne pairo par khada
Haan thaam loon jo dard se kisi ka haath
Haan wahli
Karde mujhko riha
Ye pal ye gham khatam hojayenge
Haan hum or tum sambhal bhi jayenge
In raato ke baad ek subha nayi
Sukoon hi hai bas iltija meri
Ab raato ko mai dekho so na paa raha
Haan neend aaye toh bhi chadta ja raha
Ye seedi jiska mujhko ant hai pata nahi
Hai asara ki hogi us taraf subha nayi



Credits
Writer(s): Nikunj Verma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link