Khushnaseeb

Lagti dhundhli yaadein
Shaukh the mere ajeeb
Haar ki god me kabhi
Jeet kabhi ho kareeb
Hu saza ki qaid me
Awall bane naseeb
Dekhu jo peeche mudke
Zindagi khushnaseeb
Ateet ki chaadar jakadti
Ghut ta dum bhi roz
Isi ateet se banke
Karta kyu iska virodh
Jaana tha sabse dur par
Chuth ke kya reh gaya hu
Shuru to kiya lagan se
Badal bhare aasman kyu
Hogi meherban tujhpe
Tofe se tujhe nawazti
Mujhko bana dala ghar ka beta bada jispe ladi zimmedari
Aur itna zimmedaar bana
Ki shaukh ka kamra khula nahi
The sapne bade bhi mere itne pehra tha sabka to bali chadha di
Betasha badnaseeb
Rakhta koi na kareeb
Baaton me hai na khushi
Aatma bhi mar chuki
Ho chehre pe meri taarefein
Bas kaam lagane ko saare nazdeek hai
Ye jaane na baitha kalakaar mere bhi mann ke bheetar
Jo mar jaata tha dekh ke liked a message
Ab umeedein bhi chorh chuka zamane se
Bas kamre me khush banata gaane ye
Aur aaj jo panne bikhere yaadon ke
To padta jhakjhorna waapas aane pe
To yaad kar
Wo din tha ek jab baaje bajaye tune
To yaad kar
Taane bhi keel se haske khaaye tune
To yaad kar
Ki aaj bhi peeche haste rehte saare ye
To yaad rakh
Tera sabse saga tere saaya bana rahe
Shukra guzar hu kaafi
Gila sikhaya na maa ne
Deta hu puri mai taaqat
Har gaana aakhri fasane
Kya banu itihaas
Kya mai banunga kissa
Zikr hoga mera unme
Kala ka sabse mureed tha
Betasha badnaseeb
Rakhta koi na kareeb
Baaton me hai na khushi
Aatma bhi mar chuki
Uthta tha roz
Sochta tha acha hai sabkuch
Aur badhiya hi karne ka josh
Leke bas chhaanu har kona kamre ka
Ki mile koi khoj
Jisse bas mili khamoshi
Khudke andar se kesa ye shor
Dabake rakha toofan jo bheetar dil ke
Ab na hoga control jo aagya hosh
Kosta tha ab kyu soch mai raha hu
Ki kuch khaas nhi hu still akela mauj mein khada hu
Tu jo hase mujhe dekh ke kis dor se bandha hu
Par tu kho chuka hai khudko aur mai khojne chala hu
Kosta tha ab kyu soch mai raha hu
Ki kuch khaas nhi hu still akela mauj mein khada hu
Tu jo hase mujhe dekh ke kis dor se bandha hu
Par tu kho chuka hai khudko aur mai khojne chala hu
Jo kal ke pal the baaki
Haa kal ke fal bhi yaad ni
Har pal ke hal ki baat ni
Mai khush hu khud se aaj bhi
Har hal ka fal hai baaki
Pal fal ka har hai baaki
Kal kal ka fal hai baaki
Mehnat kar raha hu aaj bhi
Betasha badnaseeb
Rakhta koi na kareeb
Baaton me hai na khushi
Aatma bhi mar chuki
Jealousy kabhi ni
Na hoti to kesi yeh memory
Therapy na mile kahi jo mitade
Wo guilt purane in melodies
Wo dil jo chahe ek recipe
Samagri me saari hoe felonies
Paka de ek sundar si legacy
Kosta tha ab kyu soch mai raha hu
Ki kuch khaas nhi hu still akela mauj mein khada hu
Tu jo hase mujhe dekh ke kis dor se bandha hu
Par tu kho chuka hai khudko aur mai khojne chala hu



Credits
Writer(s): Aman Tiwari, Ishaan Gaur
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link