Gumaan

Maafi talaafi ki kaafi par aayi kaam nae
Ji aap wo leti mera naam nae
Pills pop, i let the weed smoke
Sometimes just talking does not make the pain go

Tu hee aag tu he uspe parti baarish
Mein wo khaali haveli jiski tu akeli waaris
Tu hee chaaon, tu hee dhoop, rangon ke saat roop
Tu jitni khoobsurat uss se kahee'n zyada duur
Mein likhna chor dun jo tere baare
Mein qalam torr dun aur tu siyaahi mein basa reh
Hansa rahey zamaane ko khud se pareshaan
Wo parhti thi kitaabein mein parhta hun insaan

Insaan bhi kya cheez hai
Aik mein wafa nae aur dusre ko wafa ki umeed hai
Insaan bhi kya cheez hai
Mein kal guzra phir udhar se tou yaad agayi chiz aik

Tera number nae hai you left the city and you'rе gone
Baat karne ko hai bass ye microphonе
Wohi kaghaz, wohi qalam, lehje sakht, dil naram
Badd bakht bass karo udaasi har taraf
Jhootay tere bharam kis baat pe tu barrhamm
Par hum kyun abhi stuck like a jam on a one way
But someday tu samajh jaaegi duur hokey hamm se ke
Hamm mein wo qaraar nae, pehle waali baat nae
Tujhe kiya azaad ya di hai khud ko saza
Lekin dil ke mohalle mein ab tera makaan nae

Aaj phir tu aae nae, yaad teri aayi thi
Bewaja hee bewafa se, bepanah umeed jo lagaai thi (hmmm)
Aj phir tu ik gumaan, aj phir tu shaeri
Socha tha tu aaegi torr ke wo rasmein saari dunya ki riwaaeti but god dammit girl
Aaj phir tu aae nae, yaad teri aayi thi
Bewaja hee bewafa se, bepanah umeed jo lagaai thi

Raazi dil tou razamand hum kyun nahi
Nai taapi pill, gaanay likhe ye shayoor bhai
Ye ajizi hai baghi isko kehte hum ghuruur nai
Dil e maghroor tu bhi khoob tu haram dena sood phir
I'm just a text away, itna bhi duur nahi
Feels like yesterday sach ka suboot nai
Tu hi zawal mera, tu hi hai urooj ay
Logon se puch ye qalam likhta jhoot nai
Ghum dekar phir dilaase kese?
Muu pe tassaliyan tou dunya mai tamashe kese?
Hum aaj bhi kehte, na koi raqeeb, na hareef
Hum thay ghareeb najanay kaati hain wo raaten kese?
Qalam chor ya qalam tor, aa wazan tol
Nai hazam shor, ye azam khoj, tu surangh khod
Tarazu hi nai jo tolega ye dozen bol
Tu raqam soch in lafzon ki, aaja zakham tol

Insaan bhi kia cheez hai
Ek mai wafa nai aur dusre ko wafa ki umeed hai
Insaan bhi kia cheez hai
Jhoot ki saza nai tou tohmaten lagane pe yahan dheel hai
Tu jese rehmat, tu hi hoor, tu hi noor, kohinoor
Tu hi saya, tu hi dhoop, tu fitoor ye futuur
Tu itni khuubsurat k mai likhne mai majboor
Badal sirhaana, kiun ke duur, tu ne tou aana nai
Khudkush zamana, ye ek gaana koi fasaana nai
Likden afsaaanay tujh pe lekin

Aaj phir tu aae nae, yaad teri aayi thi
Bewaja hee bewafa se, bepanah umeed jo lagaai thi (hmmm)
Aj phir tu ik gumaan, aj phir tu shaeri
Socha tha tu aaegi torr ke wo rasmein saari dunya ki riwaaeti but god dammit girl
Aaj phir tu aae nae, yaad teri aayi thi
Bewaja hee bewafa se, bepanah umeed jo lagaai thi



Credits
Writer(s): Anjum Talha Anjum
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link