Pehchaan

Ankhein nam kyu hai meri, Kaise yeh saza hai
Jeena ghut ghut kar hi, Shayad ab isme hi maza hai
Aksar sochta hun kyu main, Hun mehroom zindagi se
Gam me bhi lab yeh mere, Muskuraate hain puri khushi se

Gustakhia meri itni bhi nahi
Khoya hu tu mujhe dhundhta nahi
Hai yahi meri aarzooo tujhse hi
Gustakhia meri itni bhi nahi
Khoya hu tu mujhe dhundhta nahi
Hai yahi meri aarzooo tujhse hi

Kuchh to bata Mai hu kahan
Kya meri hai pehchaan
Raahein meri hai laapata
Kyu main hun khud se hi khafa
Kuchh to bata Mai hu kahan
Kya meri hai pehchaan

Waqt yeh guzarta hai, Chehre badalte hain
Qurbatein jinse hoti hain, furkat unki munasib hain
Kosta hu khud ko kyu, main bhala
Rahguzar hu ya humsafar, kya pata

Gustakhia meri itni bhi nahi
Khoya hu tu mujhe dhundhta nahi
Hai yahi meri aarzooo tujhse hi
Gustakhia meri itni bhi nahi
Khoya hu tu mujhe dhundhta nahi
Hai yahi meri aarzooo tujhse hi

Kuchh to bata Mai hu kahan
Kya meri hai pehchaan
Raahein meri hai laapata
Kyu main hun khud se hi khafa
Iss shaam ko dhal jaane do
Kya pata kal ho nayi subha
Kya meri hai pehchaan
Kya meri hai pehchaan



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link