Nadaniyan

Jo lafzon mein na keh sakoon
Woh kya tum samajh paoge?
Yeh palkein jhuki si hain kyun?
Kya humse bhi sharmaoge?

Zamane ki nazron se yoon
Kya bolo tum ghabraoge?
Jo humse ho koi khata
Kya rooth ke tum chale jaaoge?

Main har kore kaagaz ko teri taareefon ki
Syaahi se rang dunga
Tum "Shayar" kahoge mujhe, par yeh sun lo
Tum hi ho iski wajah

Main nadaniyan 'gar karoon
Kya tum mujhko samjhaoge?
Zamane se hat kar chaloon
Kya tum mere sang aaoge?

Har ladaai mein humari main kahunga "Sorry"
Har ladaai mein humari main kahunga "Sorry"
Tum kahoge "Chai", main kahunga "Coffee"
Thodi an-bani toh chalti rahengi, par
Ek hi sirhaane pe hoga apna sar

Agar main dikhoon khwaab mein
Toh kya tum theher jaaoge?
Aur yoon muskura ke meri
In baahon mein bhar aaoge?

Main saari ki saari teri khwahishon ko
Yoon qadmon mein le aaunga
Ke duniya kahegi, "Iss paagal se seekho
Filmon mein kya hai rakha?"

Kya apne har ek raaz ko
Tum mujhse bhi milwaoge?
Yeh tooti-phooti shayari
Kya zindagi-bhar tum seh paoge?

Jo lafzon mein na keh sakoon
Woh kya tum samajh paoge?
Yeh palkein jhuki si hain kyun?
Kya humse bhi sharmaoge?



Credits
Writer(s): Tushar Maithani
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link