Kaisi Yeh Saza ?

Beete lamhe, ab satate
Aansuon ki tu hi ek wajah
In dino mein, so na paata
Kis gunah ki milrahi saza

Tere hi saaye mein tha, mera har pal
Tu aayegi sanam, yeh main kehta raha
Tere hi ore chalte mere har kadam
Ab tu kehti mujhko tham, ke main tanha yahan

Teri aankhein, woh baatein
Unme hi rehta main fanaa
Teri yaadein, woh mulakatein
Ab yeh deti hai saza
Kaisi yeh saza
Kaisi hai saza
Kaisi hai saza
Kaisi hai saza, Kaisi yeh saza

Main toh bas panno mein likhta rehta hun yeh jazbate
Tu jab bhi aati hai saamne, kuch hum keh na paate
Tere hi naamse, aankhein kholta main yahanpe
Mujhko inaam de, ya maarde, bata iraade

Mere in aansuon ke lehron mein nav girade
Mere in gehre se ghav ko tu daag banade
Mujhko ab mere hi aansuon mein phirse duba
Mujhko ab saans nhi aa rahi, iski wajah

Meri yeh aankh khul rahi hai, main kahan?
Iss jahan se bhi main pare, ek daastaan
Yahan har galiyon mein, main khojta hun raasta
Mere hi saamne hai khada, yeh khuda

Mujhe tu yeh bata, ay khuda
Ke kitno ke wafa ke badle, milti hai yahan wafa
Meri toh aakhri hai yeh dua
Ke tujhko na mile tere jaisa koi bewafa

Teri aankhein, woh baatein
Unme hi rehta main fanaa
Teri yaadein, woh mulakatein
Ab yeh deti hai saza
Kaisi yeh saza
Kaisi yeh saza
Kaisi yeh saza
Kaisi yeh saza, Kaisi yeh saza



Credits
Writer(s): Satyam Badapanda
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link