Lage Darr

Haan lage darr
Kamaunga kaise kal
Chukaunga kaise karz
Bachaunga kaise sab ko
Lage darr
Banaunga kaise ghar
Mitaunga kaise gum
Dikhaunga kaise rab ko
Aankh meri, yeh jo din prati din karta paap mein bhi
Mera dushman mein
Aur iss pratidvandi ki jaan leli
Kya hi jeet, jab khudki mazaar haath leli
Acha lekhak, ya acha nirdeshak
Kya acha abhineta, ek acha dost beshak
Par kya hi fayeda itne upnaam lekar
Jab achi santaan wala koi gunn na hai ab
Mere pita, sada waqt se aage
Aur unka beta dekho waqt se bhaage
Main darun kal se, aavegi iss akkal se
Toh kal mein hi mann mera dum birajye

Lage darr, lage darr
Kya sunlega koi jo aaj chilaaun main
Lage darr lage darr
Kyun khudse hi baatein kar unko dohraun mein
Lage darr, lage darr
Kya socha jo kuch bann bhi paunga main
Lage darr lage darr
Kya saano ki kimat Kamaunga main

Shayad mann hi mann maan chuka hun
Mere parivaar ki legacy ke neeche aa chuka hun
Laparwahi hai sabse bada nasha
Aur mein toh Sanju bawa ki raah pe ja chuka hun
Mujhse umeed kaafi judi hai
Tabhi harr peed mere jee mein aaj bhi chipi hai
Maa kehti likhta udaasi pe kyun
Maa, yahi toh meri chavi hai
Lage darr, ab jo baatein karun vision ki
Aankhon mein dhul jhonk dete mere kaise bhi
Batein toh karta hun bohot main
Par bhul jata, insaan hun aakhir main bhi
Tu kyun likhta pechida, suljha yeh geet taaki sabko samjh aaye
Meri lekhi mein chupa milunga main khud
3 minto mein kaise samjh jaaye

Yeh gaana shayad mera bhai na sune
Main jo likhta uski bhi dastan
Bachpan se jo pratibhashali the hum
Utne hi peeche dekho karamat
Mujhe darr lage maut se, kya hoga uss paar
Meri maut ki dinaank mujhe pata hai
Agar maa baap se pehle na main gaya
Toh ussi din todd dena saans, meri raza hai



Credits
Writer(s): Garvit Singh Bhati, Vaibhav Shrivastava
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link