Kaagaz Ka Dil

Dil kaagaz ka tha,
Paani si behti zindagi mein gal sa gaya
Sitaare saanjhe the jo,
Unki hi roshni mein khud bujh sa gaya

Surakh the kayi yahan,
Ye bhar gaye zar-e-gham se han
Jo na bhare wo keh rahe,
Ye zindagi kya hai maajra

Ye dil kaagaz ka tha,
Paani si behti zindagi mein gal sa gaya

Aa aa

Talaashta sukoon ye,
Jala ke saari nishaniyaan
Ki yaad bas jali nahi,
Ye ban gayi kahaniyaan

Ye dil kaagaz ka tha,
Paani si behti zindagi mein gal sa gaya

Dekhe savere, mann ke andhere bhi
Fir bhi sajaye, ye sapne sunahre hi

Meri kahani ka saar ye
Manzil dikhe jab uss par ye
Mann bole ruk
Dil bole chal
Main dil ki sunoon har bar

Ye dil kaagaz ka tha,
Paani si behti zindagi mein gal sa gaya

Aa aa



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link