Tales of Tenacity

Adakaar barre khol dete yaar idhar raaz
Tabhi baan'ta nahin houn mein vichaar mere aj kal

I'm one against the world
Or ye gangster ban'ne rakh ke chaar londay saath

Beta khud kiya ha tu?
Teri Pehchaan qaafile se ha
To kiun Akar raha ha tu?

Ye chor baaten saari zaat vaat ki
Andaaz se hi lag raha ha saaf ke ab dar raha ha tu

Bhai zimedaar ban
Aankh khol kabhi aas paas dekh
Ghar se bahir nikal dhund, apna daam naam dhund
Umar dhal rahi ha maa baap ki kaam vaam dhund

Wo kitna bebas hoke bina aansu rota hoga
Wo kitni raaten khaye bina kuch bhi sota hoga

Tu beshak inkaar kar, but it's been harder
Tujhe bhi to kabhi ahsaas ye hota hoga

Beta baap baap hota ha wo khud be haal hoke bhi
Sabse pehle teri hi to fikar kare

Tere liye is se barh ke kya khushi hogi?
Ke tera baap fakhar karke tera zikar kare

Jo Tera Ab aaya Waqt mein guzaar chuka houn
Jo bhi bigri thi wo Aadaten Sudhaar chuka houn

Agar Baap Meri Kamiyabi Dekh Hi Saka
Toh Phir Samajh meri Jaan, Jung Haar Chuka houn

Meri jaan meri baat pe Dehaan De
Agar Deni Pare Aake Aagay jaan de

Magar chor de gumaan ke is Kacha makaan ka in
Tez baarishon mein Rahega koi Qayaam

Toh bata Kya Tere paas ha Waqt barra?
Maine mehnat Likhi tune us'se Haq parha

Meri Jaan Ye hatheli pe milte nahin inaam
To Tu Manzil Ki Taraf Ab Qadam barha

Idhar londoun ko fursat hi milti nahin
Ye masle, ye nashe, ye bachi, ye game

Ye kachi umar ke ha khwaab meri jaan
Apni life mein seriously rakh le koi aim

Ye mazaak nahin raha maine dekhe wo halaat meri jaan
Ke ye zindagi ban gayi thi jang ka maidaan
Wo tamaam saare mitti mein mil gaye gumaan
Magar humne bhi de ke zabaan ko lagaam
Kiya mehnat se kaam
Apna Becha Makaan
Rahe banke Gulaam
Leke dil mein Yaqeen
Ke hum denge sar anjaam aise kaam
Ke ye dunya ho jayegi Hairaan

Maine bhi sune thay Taane badde
Ke ye ladke Ab gaate hain Gaane bade

Wo waqt Hamen yaad ke is Qala ke Saath
Apne ghar bhi hamen the Chalane pade

Magar Unse To Mein Badda Behtar Tha
Rapper Se Pehle mein Writer Tha

Subha se bhookha tha Jeb meim meri
Ek Cigrette ki Dabbi or Lighter tha

Mein To us'se bhi Behtar tha karna chahta
Jo 4 saal se mera idol Tha

Mujhe Jani mein Apna hi Aks Dikha
Maqaam jab Suna Tha Vible ka

Lekin Rahe bade dil mein Malaal
Ke Awaaz nai Sunta Tha koi
The khayaal mere dil mein Hazaar
Mujhe yaad mein ye khud se hi karta sawaal
Shayad mujhme wo pehle wali nai baat rahi
Udasi hamesha hi saath rahi
Tumhe dikhti hamari subha
Nahin Dikhti jo humpe ek ashre ki raat rahi

Meri Jaan Humne maani kya haar?
Nai!
Ghamon mein koi Shumaar?
Nai!

Ankhen bhar Ayi thi Kyaa?
Haan!
Aansu bahaye Thay Chaar?
Nai!

Meri Jaan Humne maani kya haar?
Nai!
Ghamon mein koi Shumaar?
Nai!

Ankhen bhar Ayi thi Kyaa?
Haan!
Aansu bahaye Thay Chaar?
Nai!



Credits
Writer(s): Sameer Asim
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link