Akhiyon ki lali

Khaamoshi teri be-sabab to nahiin hai
Khaamoshi teri be-sabab to nahiin hai

Ankhiyon ki laali, surkh se dore
Suna to rahi hain, bata to rahi hain
Ankhiyon ki laali, surkh se dore
Suna to rahi hain, bata to rahi hain

Betaab dhadkan be-vajah phere
Betaab dhadkan be-vajah phere

Jhuki si nigaahein, utra sa chehra
Uljhiin hain zulfein sar-e-shaam teri
Jhuki si nigaahein, utra sa chehra
Uljhiin hain zulfein sar-e-shaam teri

Sadqa hai tera jo maine utaara
Inaam-e-mohabbat jo mujhko mila hai
Khaamosh aankhein, magar bolti hain
Khud se uljhiin ye hi sochti hain

Meri mohabbat ka anjaam kya hai?
Dard-e-mohabbat ka aaraam kya hai?

Mana bhi loonga, gale bhi lagaa loon
Bus itna bata de, khafa hai kyoon

Khaamoshi teri be-sabab to nahiin hai
Khaamoshi teri be-sabab to nahiin hai

Ratiyon ka jagna aur be-vajah yoon hansna
Ankhiyon ka paani hain yaadein teri?
Dil me basaaya hai pyaar jab se
Udaasi meri ka sabab to yahi hai

Mana bhi loonga, gale bhi lagaa loon
Bus itna bata de, khafa hai kyoon

Ankhiyon ki laali, surkh se dore
Suna to rahi hain, bata to rahi hain
Ankhiyon ki laali, surkh se dore
Suna to rahi hain, bata to rahi hain



Credits
Writer(s): Mueen Chaudhry
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link