Samay

Ye samay kya hai?
Ye samay kya hai?

Teen yaaro ki toli aur aadhi raat
Nikli sehr pe, bikhre jazbaat
Vaad vivaad se, chhedi ek baat
Gol gol chakraaye ek hi sawaal

Ye samay kya hai?
Ye samay kya hai?
Ye samay kya hai?
Ye samay kya hai?

Vigyaan ki maaya hai ya?
Sansaar ki kaaya hai?
Taaro ki dhool hai
Ya baatein ye fizool hai?
Brahma ka auzaar hai
Koi brham, koi anumaan hai
Ganit ki koi bhool hai
Ya baatein ye fizool hai?

Gol hai? trikon hai?
Ya fitrat iski jhol hai?
Shreni hai ya Tarkeeb hai?
Sur se pare sangeet hai?
Prachal ye, anant ye
Pinrje sa achal hai ye?
Dwaar ya chaabi hai ya
Ayaam koi anjaana ye

Ye samay kya hai?
Hume jaana kaha hai?
Ye samay kya hai?
Hume jaana kaha hai?

Pichhli seat pe baitha Ateet
Bhavishya dhaare aage ki seat!
Gaadi chalaaye apna vartamaan
Teeno ki toli sarvashaktimaan!

Ateet bhavishya
Ke jhagde mein
Yaadon aur sapno
Ke lafde mein

Pista rehta hai
Apna vartamaan
Puchhta rehta
Ek hi sawaal

Ye samay kya hai?
Hume jaana kaha hai?
Ye samay kya hai?
Hume jaana kaha hai?

Samay to jaise apni zindagi
Laakhon sawaalo ki ye dillagi!
Javab sare jo dhundhe tune
To jatse badal de ye fitrat apni!



Credits
Writer(s): Hrutul Patel
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link